Maa Baap ke shukrguzaar rahiye, yeh sach hai ke hamare wujod ka nazar aane wala
sabab Maa Baap hain, phir Maa Baap ki parwarish aur nigrani mein ham palte
badhte hain aur jis ghair mamooli kurbaani aur badi mohabbat se hamari parwarish
karte hain, uska takaza hai ke hamara seena unke aqeedat wa ehsaanmadi aur
badappan wa mohabbat se bhara hua ho aur hamare dil ki nas nas unki shukrguzaar
ho.
Yehi wajah hai ke Khuda ne apne shukrguzaari ke sath sath unki shukrguzari ki
takeed farmayee hai.
“(HAMNE WASIYAT KI KE) MERA SHUKR ADA KARO AUR
APNE MAA BAAP KE SHUKRGUZAAR RAHO” (31:14)
Hazrat-Abu-Umama (RA) farmate hain ke ek admi ne
Nabi (Sallallaho-alaye-wa-sallam) se poocha “aye Allah ke Rasool, Maa Baap ka
aulaad pe kya haq hai?” Aap (Sallallaho-alaye-wa-sallam) ne farmaya “Maa Baap hi
tumhari jannat hain aur Maa Baap hi tumhaari dozakh.” (Ibn-e-Majah)
Yani Maa Baap ke saath nek sulook kar ke tum jannat ke
haqdaar hoge aur unke hak ko maar kar tum Jahannam ke Endhan banoge.
YA ALLAH HAME ITNI HIDAAYAT DE KE HAM APNE MAA
BAAP (YA JO BHI EK ZINDA HO) KE SATH HAMESHA ACHCHA SULOK KARE… UNSE KISI BAAT
MEIN UFF TAK NAA KARE… AUR AULAD HONE KA HAQ ADA KAREN.. AMEEN !!!!!!
No comments:
Post a Comment