Aaj har adimi badi tezi ke sath tarakki kar raha hai. Logo ke halat badalte ja
rahe hain. Garibi dur hoti ja rahi hai. Logo living standard (rahen-sehen ke
andaz) mai kafi tabdili aa chuki hai. Badi achchhi baat hai. Yah tabdili apne
aap nahi ayi balki lane ki zeetod mehenat ki gayi hai. Ameerana zindagi aaj ki
zarorat banti ja rahi hai. Samaaz mai payees walo ko hi izzat ki nazro se dekha
jata hai. In halat ki mazburiyon ne insaan ko jayeda se jayeda kamane par
uksaya. Jayeda kamayi ki hawas mai jayeda tar log bahek gaye. Nawkri besha ho ya
businessman, har ek ke nazariyon mai fark a gaya. Nawkri besha log mai tankhow
se jayeda kamayi ka shawk wa lalach ne na jane kitne haram kaam karne ki shikha
diya. Galat tariko se rakam hashil karna ek aam baat
ho chuki hai. Jisse ab koi barayi nahi samjhta. Karobari hazrat kam punji mai
jayeda nafa kamane ke chakkar mai jhhut-fareb aur milawat wagaira jayese akhlaki
jurm karne lage. Had ho gayi ki ab dawaye bhi nakli ane lagi. Yah sab jayeda
payees kamane ki hawas mai ho raha hai. Jayeda kamayi ke chakkar mai chakkar mai
ameer-gareeb, aam-khash, alim-jahil sab shamil ho chuke hain. Logo ke dilo se
Allah ka khawf nikal chuka hai.
Kuch logo sochte hain ki kamayi kaiyesi bhi ho,
haram kamayi bhi zakat den eke baad halal ho jati hai, isliye ghabrane ki
zarorat nahi. Zakat dege, achchi niyaz kar dege, masjid-madarso mai chanda de
dege, sab thik ho jayega. Kitni badi nadani hai. Sharab mai dudh mila dene se
sharab zayaz nahi aur paak nahi ho sakti. Issi tarah haram tarike se kamaya maal
har haal mai haram hi rahega, bhale adhi dawlat nek kamo mai kharch ki jaye.
Ayesi kamayi ki khayerat bhi Qabul nahi hoti.
Haram kamayi ke nukshanat akhirat mai jo hoge wah
to apni jagaha hain, duniya mai bhi uske
nukasanaat ka samna karna padhta hai. Tarah-tarah ki bimariyon aur hadesaat wa
nuksanaat ke shikar hone ke baad bhi agar insaan apni hosh ki akhey na khole to
in mai kis ka kasur . balki ab to log itne nidar ho chuke haii ki agar galat
kaam karne wale toke to waha apne islah ke bazaye jawab deta hai – miya!! Apni
dekho. Hamare amal hamare sath. Allah-ho-akbar!! Insaan kitna nidar hogaya hai
Allah ki narazgi ka bhi khawf nahi. Yaad rakhiye-Allah paak har nafarmaan ko
sudharne ki moholat deta hai, ek dam nahi pakadta aur jab pakad farmata hai to
jab chhudta nahi sabhalna muskil ho jata hai.
Khuda ke liye itne nidar na baniye aur
halam-halal ko pahechaniye aur duniya aur akhirat ki tabahi se bachne ki har
momkin koshish ki jaye. Allah hame tawfik de. Ameen!!
No comments:
Post a Comment