[1] Apni Nigaho ka khayal rakhkhe.
Mere muslim bhaiyon apne nigaho ki
hifazat kiya karo, jabhi road mai chalo to apni nigahe nichhe kar ke
chalo main aksar dekhta ho ki bahut se log chowk par bath jate hai aur
har ane jane wali be parda awrato ko dekhte hai, ye bahut badi galti hai
hamari iska bahut sakht azab hai ek nazar maaf hai lekin iska matlab ye
nahi ki jab tak aapki palke jhapke nahi jab tak aap dekhte hi raho, aap
iska khayal kare aapki zindagi ke liye behetar hoga, apna iman banay
rakhkhey –
[2] 3-Badnashibiyan.
1- Jis ke samne rasul paak sallallaho alaye wa sallam ka jikar kiya gaya aur usne darud sharif nahi padh waha bad nashib hai.
2- jisse ramzan sharif ka mubarak mahina nashib huwa usne roza rakh kar aur dusri ibadatein kar ke jannat mai jane ka saman nahi
kiya aur ramzan ka mubarak mahina laparwahi aur gaflat mai bita diya wah bad nashib hai.
3-Jisne apne budhey maa-baap ko unki khidmat karke khush nahi kiya waha badnashib hai.
[3] Insan ki tabahi in 3 baato me hai!.
1- Tauba ki ummid pe gunah karna
2- Zindagi ki ummid pe tauba na karna
3- Aur tauba kiye bagair duniya se rukhsat ho jana..
Nabi-e-Kareem sallallahu alayhi wasallam ne farmaya : apne gharo ko
tilawate quran se munawwar karo. jish ghar me kasrat se tilawate quran
hota hai waha barkatein bhi zyada nazil hoti hai.
[4] Hadith Sharif.
Abu-huraira-raziallah-anhu – se riwayat
hai ke rasulallah sallallah alaye wa sallam ne farmaya – tum mai se jo
shaks imaam se paheley apna sir uthata hai kiya usse khawf nahi ata ke
kahin Allah ta’la iska sir gadhey ka na banadey. (Shahi-Bukhari)
[4] Zilhij (Bakraeid) Mahine Ki Kuch Ibadatein.
10vi tarikh tak har isha ki namaz ke
baad 2 rakat namaz is tarah padhey ki har rakat mai, Sureh fateha ke
baad 3 baar kulhuwallah sharif padhey. Allah paak apne karam se buland
makam ata farmayega, hazar nekiya ka sawab aur hazar dinaar khairat
karne ka bhi sawab ata farmayage.
[5] Sone se pahele Allah se tawba kar liya karo.
Jab insaan ko sukun ki kami mahsush ho
to Allah paak se tauba kar leya karo, kyon ki insaan ke gunaah hi hai jo
dilo ko bechain rakhta hai. Insaallah roz sote waqt jaane anjaane mai
jaanboojh kar jo bhi gunah hum log se ho jaate hai us baat ko yaad kar
ke Allah paak se apne gunaaho ki tauba kar ke soya kare insaallah har
din aap ka beheter din hoga.
No comments:
Post a Comment