Aye mere dosto kya tum bhul gaye ho ki tumhe us parwadegar ke pass wapas jana
hai…kya tumhe nahi pata ki tum jo kar rahe ho usse wo khub wakif hai aur tumhare
kartut usse pata hai wo sab janata hai jo tum karte ho aur jo tumhare man mai
hai, aur jo tum sochte ho…to kya tumhe us Allah ka dar nahi jo Pori kaynat ka
rakhwala hai kya tumhe uska kahena nahi manna chahiye jo usne kaha hai mere
matalb un kamo se hai jo Allah ne mana
faramye hai aaj ki kawm pata nahi kyon bhatak ti ja rahi hai.
Maine dekha hai ki muslim bachchey na jane kis
kis chez ka nasha kar rahe hai jo islamic tawr par haaram hai…ye nasha tumhari
ane wali zindagi barbad kar raha hai…kya tum nahi janate ki jis nase ke tum adi
ho gaye ho wo ek waqt ane par tumhe kha jayega fir zara socho ki us Allah ke
samne kya kahoge jo tumhare har kaam se wakif hai tumhari har achchhi aur puri
cheiz usse pata hai..tum jo karte ho wo usse chupa nahi paoge….wo to sab jannne
wala hai.
Dosto aaj ka muslam haram aur hala mai farak hi
nahi karata hai wo to ayesa ho gaya hai jayese wo duniya mai hi rahega…jayese
maine apni pichli post mai halal aur haram ke bare mai likhkha thha…ek hadith
mai hai ki – Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya!
Logo per ek ayesa zamana aye ga ke insaan koi parwah nahi karega ke jo is ne
hasil kya ha wo Halal hai ya haram hai. (2059: Jild 3; Sahee Bukhari
Shareef)….to ab tumhe sochana hai ki tum kya karna chahate ho kya tum jannat mai
jana chahate ho yar fir…us jahannam mai jaha ki soch kar bhi rongte khade ho
jayege tumhre.
Maine dekha hai ki baat baat par insaan kasam
khata hai aur wo bhi Allah ki jab ki Kasam to Allah ki hi khani chahiye par
hamesha nahi… jab insaan fas jata hai ya kuch ayesa ho jata hai ki …uska koi
yakin na kare to fir wo Allah ki kasam kha sakta hai.. Aur koi bhi muslman Allah
ki kasam jhhuthi nahi khayega ab jara socho agar tum baat baat par kasam khaoge
aur fir kabhi ayesa mauka aya ki tumhara koi yakin nahi kar raha ho…fir tum agar
Allah ki kasam bhi khaoge to tumhare koi yakin nahi karega..is baat ka bhi
khayal rakhna chahiye… Kasam shirf us time par khani chahiye jab uski jarorat ho
baat baat bar kasam khana galat hai.
Maine dekha hai ki log kuch bhi kasam kha lete
hai, koi bhai ki khata hai koi baap ki aur ayesi hi bahut si kasam hai jo log
khate hai…par ayesi koi kasam hai hi nahi…kasam shirf Allah ki hai aur wahi
kasam khana chahiye…ek hadith
mai aya hai – Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aagr kisi
ko kasam khani hi ha to Allah hi ki Qasam khaye, warna khamosh rahe. (2679: Jild
4; Sahee Bukhari Shareef). Isse saaf ho jata hai ki hame shirf Allah ki kasam hi
khani chahiye.
Main jobhi likhkha ho sab islami book aur hadith
se le kar hi likhkha ho, main apne aap se kuch bhi nahi likha …pas ye post maine
tayyar ki hai..inshallah agali post fir se karoga …sunnat aur islam ki rawshni
mai…ummed hai aap log is par amal karege…Allah ham sab ke gunah maaf kare aur
hame…imaan ke sath duniya mai rahene ki tawfik de…Ameen!!
No comments:
Post a Comment