Yaha mahina Allah ka mahina hai aur Allah ke mahino mai neki ka sawab bahut
zayda hai magar gunah ka azab bhi itna hi zayda hai. Magar afsos ki is Mubarak
mahine mai ham musalman, bidda-at, rsumat gunah wa kharafat ka shikar rahete
hai. Shaher aur gao mai awrato ka saj banker gharo se nikalna aur gayer mahramo
ko apane husn ka jalwa dikhana aur khud gayer mardo ko dekhna hi mamuli gunah
nahi is par gazab yaha ki damne asmat ki dhazziya hona, gayer muslimo se islam
ki hassi udwana.
Musalmano ko chahiye ki rafziyon ke anusarra se
bachhey khud bhi aur apni auwrato aur bachchho ko bhi bachaye. Alam ,takht,
taziyon se ahele sunnat ko koi lagaw nahi na deen mai iski koi asliyat hai fir
baza adi to yaziti kaam hai aur kabira gunah. Haan nazro niyaz ki ye Allah ke
yaha maqbul hai jayeda se jayeda sawab pahuchaye. Apne ghar ke murdu khash kar
karbala ke shahido wa aur buzurgane deen ko ki iska sawab bahut hai aur jo sawab
pachchaye usko 10 guna azar milta hai. (Iqbal ahemd nori)
Hazrat sallallaho-alaye-wa-sallam farmate hai –
mujhe Allah par gumaan hai ki ashura ka roza ek pahele ke gunah mita deta hai.
(sahi muslim) ashura muhorram-ul-haram ki 10 vi tarikh ko kahete hain, awliya
ikram farmate hai jo adimi ashura yahi
10 moharram ko 2 rakat namaz is tarah padhey ki paheli rakat mai sure:fateha ke
baad sure an-aam aur dusri rakat mai sureh:fateha sureh:yaseen, usse 1000
baras ki ibadad ka sawab milta hai.
No comments:
Post a Comment