Roza namaz ki tarah jakat bhi islam ka ek aahem farz hai. Yaha bhi ebadad hai
jise ada karna jarori hai. Sure bakar: ke pahele hi page par allah ne apne un
momin bando ki tariff farmate
huwe farmaya-aur hamne unhe jo rozi di hai,usmai se waha meri raah mai
kharch karte hai.
Jakat farz hai lekin sab par nahi balki maldaro
par hi farz hai. Mehenat banda karta hai, uska far allah deta hai. Har mehenat
karne wale ko ek jayesa fal wa enaam nahi milta balki bande ki niyat ke mutabik
allah jis bande ko chahata hai, uski rozi mai barkat aata farmata hai. Yaha
hakikat hm sab apni akho se dekhte hai.
Hamari kamayi mai dusro ka bhi haaq hai. Issi
haaq ko ada karne ke liye aur apne jaroratmand bhaiyon ki madad karne keliye
hamare rab ne maaldaro parr jakat farz farmayi. Jakat ka matalb hai-paak karna,
badnal . jakat aada karne se maal paak hota hai aur usmai barkat hoti hai. Allah paak ne
farmaya- jo log muttaki, parhezgar hai aur apna maal paak karrne ke liye jakat
aada karte hai, waha log jahannam se dur rakhkhe jayege. Isliye allah ne apne
puyare rasul se farmaya-logo se jakat wasul karke unhe paak wa suthra
karo.
Allah ke pyare rasul farmata hai- logo! Apne
maal ki jakat aada karke apne maal ko mazbut kilo mai mahefuz karlo. Apne bimaro
ka elaz sadka se karo aur bala nazil hone par allah se ro-ro kar uski madad
talab karo.
Jo log imaandari se apne maal ki jakat aada
kiya karte hai, unke maal mai barkat hoti hai, koi nukshan nahi hota aur jo
laparwahi se kaam lete hai unhe tarah-tarah ke nukshan uthhane padte hai. Allah
ke rasul ne farmaya- jisse allah paak aata farmayega aur waha apne maal ki jakat
ada na kare to qayamat ke din uska wahi maal gaza saap bana diya jayega fir waha
uske muuh jabde pakad kar kahega-main tera maal ho main tera khazana ho.
No comments:
Post a Comment