HAZRAT
ANAS-INB-E-MALIK-RAZIALLAHO-TA-AALA-ANHO- ne farmaya ki jab ramazn ka
mahina suro hua to huzur- ALAYHISHSALATU-WAS-SALAM ne farmaya ki yaha mahina tum
ma aya hai. Aur ismai ek raat ayesi hai jo hazar mahino se achchhi hai to jo
shakhsh iski barkato se mahrum raha wah tamam bhalaiyon se maharom raha aur nahi
maharum rakhkha jata iski bhalaiyon se magar wha jo bilkul be nashib ho- (IBN-E-MAZA)
HAZRAT-E-AYESHA-RAZIALLAH-TA-AALA-ANHO-
ne kaha ki huzur – ALAYHISHSALATU-WAS-SALAM ne farmaya ki ramzan ki akhiri
dahayi ki futkar rato mai sab-e-kadar ko khojo- (BUKHARI SHARIF)
HAZRAT-E-AYESHA-RAZIALLAH-TA-AALA-ANHA- ne
farmaya ki maine huzur – ALAYHISHSALATU-WAS-SALAM se puchha ki ya rasulallah !
agar mujh ko sab-e-kadr malum ho jaye to mai usmai kya karo ? aapne farmaya ki
yaha dua padho- ALLAH-HUMMA-INNAKA-AFU-UN-TUHIBBUL-AKW-FA-AAFU-ANNI. YAHI aye
allah ! tu mu-aaf farmane wala hai maaf karna tujhe pasand hai to mujhe maaf
farmade.
HAZRAT-E-AYESHA-RAZIALLAH-TA-AALA-ANHA-
ne farmaya ki huzur- ALAYHISHSALATU-WAS-SALAM jitni ramzan ki akhiri dahayi mai
(ibadad ke liye) koshish karte the utni kisi dusre dahayi mai na karte the. (MUSLIM)
HAZRAT-E-ANAS-RAZIALLAH-TA-AALA-ANHO-
ne kaha ki rasul-e-karim ALAYHISHSALATU-WAS-SALAM ne farmaya ki jab sab-e-kadar
aati hai jo JIBRYIL-ALAYHISHSALAM farishto ki jamat ke shath ate hai aur har us
band ke liye bakhshish ki dua karte hai. Jo khade hoka ya bayth kar khudaya
ta-aala ke jikar mai laga rahata. Fir jab unhe EID ka din nashib hota hai to
khudaya-ta-aala apne un bando par apne farishto ke samne apni khushi jahir karta
hai. Aur fermata hai ki aye mere farishto ! un mazdur ki mazduri kya hai jo apna
kaam pura kar de. Farishte kahete hai ki aye mere farwardigar uski mazdui yaha
hai ki usko pora badla diya jaye. Khudaya-ta-aala farmata hai ki aye mere
farshto ! mere bando aur meri lawndiyon ne (mere mukarrar kiya hua) fazr ko ada
kar diya hai ab waha gharo se dua ke liye EIDGAHA ki taraf nikle hai. Kasam hai
apnhi izzat, apne jalal, aapni bakhshish wa rahemat apni shan ki badayi aur apni
rifa-atimakan ki mai unki duayon ko QABUL karoga fir khudaya-ta-aala farmata hai
aye mere bando ! apne gharo ko lawt jao maine tum ko bakhsh kiya aur tumhari
burayiyo ko nekiyon se badl diya. Farmaya HUZUR- ALAYHISHSALATU-WAS-SALAM ne to
musalman EIDGAHA se is haal mai wapas hote hai ki unke gunaha bakhsh diye jate
hai. (BAYEHKI)
HAZRAT-E-AYESHA-RAZIALLAH-TA-AALA-ANHA-
ne farmaya ki ramzan ki akhiri dahayi ati to huzur ALAYHISHSALATU-WAS-SALAM apne
tahband ko mazbut bandh lete (yahi ebadad mai bahut koshish farmate) rato ko
jagte aur apne ghar walo ko jagate.
No comments:
Post a Comment