8 Jil Hizza – fazr ki namaz
haram sharif mai padkar haj ka ayehraam bandh le aur aaj hi tawaf wa sai kar le.
Ayehraam bandhne ke baad yo niyat kare –
ALLAHHUMMA-INNI-URIDU-HAJJA-FAYSSIRHO-LI-WA-TAKABBL-HO-MINNI-WA-AHRAMTO-BIHI-LILLAHE-TALA.
Niyat karne ke baad talbiya (labbayek) padhle. 8
tarikh ko johar tak mina mai pahuchna hai. Ab chuki bhid bahut hone lagi isliye
moallim 7 tarikh ko isha ke baad hi hajiyon ko bas mai sawar kar mina bhejne
lage hai. 8 tarikh ko Johar, Ashar, Magrib aur Isha ki namaz mina mai hi padhni
hai. Jayeda se jayeda waqt zikr wa ibadat mai guzare.
9 Jil Hizza – fazar ki namaz ke
baad mina se arafa ke liye rawana hona hai. Johar aur Ashar ki namaz arafa ke
maidan mai padhni hai. Masjid-e-namura mai Johar wa Ashar ki namaz ek ke baad ek
ada ki jati hai lekin kheme mai namaz padhne wale johar ke waqt mai johar ki
namaz aur ashar ke waqt mai ashar ki namaz ada karege. Aaj haj ka khash din hai.
Khub-khub ro-rokar apne aur sab ke liye duaye mage aur ashar ki namaz ke baad
–
CHAWTH KALMA – 100 BAAR, DUSRA KULHUWALLAH – 1000
BAAR , DARUDH SHAIRF – 100 BAAR, AYETEKARIMA – 100 BAAR, ASTAGFARULLAH – 100
BAAR, AUR ALLAHHUMMA-INNAKA-AFUYUN-TUHIBBUL-AFW-FA-AAFO-ANNI padhey.
Suraj dubne ke baad muzdlefa jana hai aur magrib
ki namaz wahi padhni hai. Muzdlefa pahuch kar magrib aur isha ki namaz ke baad
kuch deer aram kar le. Raat ibadat mai guzare aur yahi se shayetan ko marne ke
liye kam se kam 49 kankriya chun le. Kankriya jayeda badi na ho. 10 tarikh ko
subha fazar ki namaz padh kar mina ke liye chalna hai.
10 Jil Hizza – Mina pahuch kar
sabse pahele 7 kankriya lekar bade shayetan ko kunkari marne jana hai.
BISMILLAH-E-ALLAHO-AKBAR padhte huwe ek-ek kunkari pillar mai na pade to uske
kinare bane ghere mai zaror gire. Agar koi kunkari uske andar nahi giri to uske
badle dusri kunkari marni hogi.
Shayetan ko kunkari marne ke baad kurbani karni
hai. Agar kurbani ki rakam bank mai jama karwai hai to waha se mile time ka
dhayen rakhkhey. Usse pahele – pehele kunkari marni hai aur uske baad hi baal
katwa kar ayehraam Khulna hai. Ayehraam khul kar naha-dhokar ghar jayese kapde
pahen kar tawafe ziyarat ke liye jana hai. 10 tarikh ko yaha tawaf karna afzal
hai. Tawaf-e-ziyarat se wapas aakar raat mina mai guzarni hai.
11 Jil Hizza – agar 10 tarikh ko
tawaf-e-ziyarat na kar sakte to, 11 tarikh ko kare aur waha se wapas aakar tino
shayetan ko zawal ke baad kunkari marte huwe apne kheme mai aajaye aur waqt
ibadat mai guzare. 11 tarikh ko raat mina mai hi guzarni hai.
12 Jil Hizza – 12 tarikh ko bhi
tino shayetano ko jawal ke baad kunkuri marni hai. Agar 10,11 tarikh ko
Tawaf-e-ziyarat na kar sake ho to, 12 ko bhi suraj dubne se pahele-pahele kar
sakte hai. Yaad rahe. Tawaf-e-ziyarat farz hai.
Teno shayetano ko kunkuri marne ke baad din dubne
se pahele – pahele mina se makka wapas aa jana hai. Agar din dub jaye to fir
raat mina mai hi guzarni hogi.
5 dino ki is bhag-dhwd mai hamesha yaha khayal
rakhkhey ki ham ibadat ke arakan ada kar rahe hai isliye kisi bhi kaam mai
laparwahi na barte balki har kaam sahi tarike se ada kare aur Allah ka sukar ada
karte huwe apne haj ke makbul hone ki dua mage.
No comments:
Post a Comment