1- Namaz Muhammad (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) ki ankho ki thandak hai…. (Hum
khud gawr kare ki hum Muhammad (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) se mohabaat ka
daawa karte hain, to kya is baat par amal karte hain).
...........................................................................................................................................
...........................................................................................................................................
2- Dahine Haath mai amaalnama (result) milega… (Jisko Allah marne ke baad right
hand mein result dega wo duniya ke exam main pass ho gaya aur jisko left hand
mein diya jaayega wo fail ho gaya).
...........................................................................................................................................
3- Rizq ki tangi ko door karti hai…. ( Namazi ko
rizq roti,kapda,makaan,sawaari Allah khoob deta hai, aur usme barkat bhi deta
hai).
...........................................................................................................................................
4- Pulsaraat pe bijli ki tarah paar ho jata
hai… (Pusaraat ek pul hai jis par se har insaan ko marne ke baad guzarna hai, ye
pul baal se zyada baarik aur talwar ki dhaar se zyada tez hai, gunahgar log is
par chal nahi sakege aur kat-kat kar neeche girege, niche dozakh hogi, ayese
main namazi us pul se bijli ki tarah guzar jaayega)
...........................................................................................................................................
5- Qabar ke azaab se hifaazat karti hai… (Agar
duniya mein kisi ne gunah kiye hain to usko qabar main hi azab shuru ho jaata
hai lekin agar ayesa insan namazi thha to Namaz uski hifazat kabar main
karti hai).
...........................................................................................................................................
6- Allah ki raza ka sabab hai…. (Namaz Allah ka
hukm hai, isliye jo isko padhta hai, Allah usse raazi aur khush hota hai, Ab
sochiye agar Allah raazi ho jaaye to phir kis cheez ki kami hogi).
...........................................................................................................................................
7- Shaitan ka muuh Kaala karti hai…. (Shaitan,
insaan ka dushman hai aur usko barbaad karne ke liye namaz se rokta hai, uske
dil main waswase daalta hai lekin jo insaan Namaz padh leta hai to Shaitan ka
muuh kaala ho jata hai.
...........................................................................................................................................
8- NAMAZ Momin ka Noor hai…. (Akhirat main jab
log ikattha kiye jayege to bahut andhera hoga, lekin logo ko utna noor (light)
di jaayegi jitna unhone duniya main acche kaam kiye hoge, Ayese main duniya main
padhi hui namaz insaan ke liye waha noor/roshni hogi.
...........................................................................................................................................
9- Jaisa sir ka darja jism mai hai waisa namaz ka
darja deen mai hai (yaani saari ibadato main namaz sabse upar hai)
...........................................................................................................................................
10- Jannat ki kunji (Key) hai…
...........................................................................................................................................
11- ALLAH se Maangne ka zariya hai….. (yaani agar
insaan par koi pareshani musibat aye to sabse pehle Allah ke
saamne namaz ke liye khada ho jaaye aur phir usse dua kare. Hazrat
Muhammad (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) par bhi koi musibat-pareshani ati
thi to namaz padhte thhe. Sahaba (radi Allahu anhu) ka bhi yahi tarika
thha. Ek baar koi sahabi safar main thhe, unka ghoda mar gaya, safar lamba thha,
un sahabi ne 2 rakat namaz padhi aur Allah se dua ki ke Allah is ghode ko
zindar kar de aur Allah ne us ghode ko zinda kar diya. Aur bhi kai wakiya hain
jaha Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne aur sahba (radi Allahu anhu)
ne namaz ke zariye Allah se madad li hai.
Bhaiyo-bahno ye to kuch faide likhe hain, iske
alawa bhi aur kai faide hain. Namaz padhne se Allah duniya main bhi kaamyabi
deta hai, aur akherat mai bhi dega.
Kai baar aisa lagta hai ke humko namaz padhne ka
time nahi hai kyonki hum hamare school/college/tuetion/ job/business… main busy
rahte hain, lekin ek baat ye dhayan rakhey ki hum duniya main ye sab kaam karne
nahi aaye balki Allah ki ibadat aur nabi (sallallahu alyhiwasallam) ke tarike
par chalne ke liye duniya main bheje gaye hain, Isliye baaki kaam bhi kare
lekin namaz ko na chhode.
Namaz se mat kaho ki mujhe kaam hai balki kaam se
kaho ki mujhe namaz padhna hai.
To bhaiyo-bahno irada kar lo ki aaj se ek bhi
time ki namaz nahi chhutegi – InshaAllah!!
No comments:
Post a Comment