Kuch log ayese hote hai jo kamne, mehnat mazduri
karne se ji churate hai lekin kharch karne mai bade hi tez hote hai. Ayese log
apni nahi balki parayi kamayi par Ayesha karna pasand karte hai. Aur kuch log
ayese bhi hote hai jo badi mehenat-mashkkat aur lagan se kamate hai lekin apni
kamayi ko sabhal kar nahi rakhte balki badi bedardi se khun-pasine ki kamayi ko
pani ki tarah baha dete hai. Jabki
samjhdari ka takaza to yaha hai ki lagan aur mehenat s halal tarike se kamaye,
jayez aur jarori kamo mai kharch kare aur kal ke liye bhi kuch bach kar arkhe
taki jarurat padne par kisi ke samne hath failane ki sharmnaak nawbat na aye.
Islam ne musalmano ko dene ki talim di hai aru bila jarorat mangne, sawal karne
se shakhti se mana kiya hai.
Bilkul yahi haal hai dini mamlat ka bhi. Ham apna
farz ada karne ki har mumkin koshish kare taki akhirat ki pakad se bach sake aur
is ke sath yah bhi jarori hai ki ham apne amal mai khulus payeda kare. Ibadat,
riyazat, haj wa jakat, sadka-khayrat wagaira jayese kaam allah ki raza aur sawab
ki niyat se kare, naam-namud ya dikhawe ke liye nahi. Riyakari se , dikhawa
karne se banda sawab se maharum ho jata hai. Shayatan to hamesha issi taak mai
rahta hai ki agar koi adimi uski chalo se bach-bacha kar koi ne kaam karne mai
kamyab ho bhi jayeto uske sawab se mahrum kar diya jaye. Iske liye wah adimi ke
dil mai tarah-tarah ke khayalat payeda karta hai taki kisi na kisi bahane adimi
apni nekiya jahir karke uska sawab tabah kar dale.
Jaroor Padhe: AMEEN AHESHTA SE KAHENE KA BAYAN
Aaj yah marz aam hota jar aha hai. Log karte kaam
hai aur dikhawa jayeda karrte hai kyonki unhe apne samaz mai ek ala makam hashil
karna hai, allah wa rasul ki raza ke khahishmand nahi. Ayesa karne se jhhuti
shohorat ke alawa aur kuch hashil nahi hota. Jis tarah samjhdari to yah hai ki
kamaye aur bachaye to ussi tarah yah bhi samjhdari hi hai ki jo kuch nek alam
kare uske sawab ko bachane ki koshish kare, dikhawa karke mehenat par pani na
fere. Haz aap par farz hai. Ada karne jarori hai. Isse ebadad ki niyat se ada
kare. Baat-chhit ke dawran koi ayesi baat jaban se na nikale jisse samne wala
yah samjhe ki aap apne haji hone ka ayeshash dila rahe hai. Kisi saman ke bare
mai yah kahna ki isse mai haj ke safar ke dawran kharida thha. Iss se bhikhulul
aur ikhlas ko nukshan pahuchta hai.
Jaka-at
aap par farz hai. Dena chahiye, lekin dene ki tawfik kam hi logo ko nasib hoti
hai. Jayeda log to darwazo par mangne walo ko bhid jama karke apne apko
daan-data jahir karna jayeda pasnad karte hai. Hame to islam ne yah talim di ki
sadka-khayrat iss andaz see do ki baye hath ko bhi khabar na lage. Khulus ka
yahi takaza hai, lekin shayatan ayes karne nahi deta balki inshan kea mal ko
akarat karne ke liye tarah-tarah ki khurafati khayalat dil mai dalta hai. Allah
ne aap ko mal-o-dawlat se nawaz hai to aap par farz hai ki uske is ayeshan ka
shukriya ada karne ke liye jaka-at ada kare. Ab yah apki jimmedari hai ki aap
haqdaro tak unka haq pahuchaye. Lekin ayesa kaha ho pata hai. Ayesa to nahi hai
ki aap ko apni kawm ke jaroratmand, rishtedaro, padoshiyon wagaira ke halat ka
andaza na ho? To fir unki jarorat pori karne se apnko dilchaspi kyon nahi ? unhe
kisi ke samne dast-e-sawal fayelane se bacha kar aap unki islami gayerat ki
hifazat karne ki kyon nahi sochte.
Ham apne imaan wa islam mai mukhlish hone ki
jarorat hai. Iss buniyad par hame akhirat mai nekiyon ka sawab wa fal milega.
Isliye kamane aur bachane ke usul par amal kijiye aur apni nekiyon ko shaytani
hamlo se bachane ke liye riyakari, dikhawe, shoharat se parhez kijiye iss mai
nizat w bhalayi hai.
No comments:
Post a Comment