Wednesday, July 31, 2013

MASJID SHARIF KA BAYAN

HAZRAT-E-USMAAN-RAZIALLAHO-TA-ALA-ANHO-Ne kaha ki rasul-e-karim ALAYHISHSALATU-WAS-SALAM ne farmaya jo shakhsh khudaya ta-ala (ki khushi) ke liye masjid banayega to khudaya ta-ala uske liye jannat mai ghar banayega (BUKHARI SHARIF)

HAZRAT-E-ABU-HURAIRA-RAZIALLHO-TA-ALA-ANHO-Ne kaha ki huzur ALAYHISHSALATU-WAS-SALAM ne farmaya ki khudaya ta-ala ke nazdik sari abadiyon mai sab se pyari jagaha uski masjid hai aur sab se buri jagaha bazaar hai (MUSLIM)

HAZRAT-E-USMAAN-IBN-E-MAZAUN-RAZIALLAHO-TA-ALA-ANHO-ne kaha ki maine huzur sallallaho-ta-ala-alayehi-wa-sallam se kaha ki ya rasul allah! Mujhe duniya chhodne ki izazat dijiye- huzur ne farmaya meri ummat ke liye duniya ka chhodna yahi hai waha masjido mai bayeth kar namza ka intizar kare. (MISHKAT)

HAZRAT-E-MUAVIYA-IBN-E-KURRA-RAZIALLAHO-TA-ALA-ANHUMA- apne baap se riwayat karte hai ki rasul-e-karim ALAYHISHSALATU-WAS-SALAM in do shabjiyon ke khane se mana farmaya yani PIYAAZ-AUR-LASSUN se aur farmaya ki inhe kha kar koi shakhsh hamari masjido ke karib hargiz na aye. Aur farmaya agar khana hi chahate to paka kar unki mahek duur karliya karo. (ABU-DAUD)

HAZRAT-E-SEKH-ABDULLA-HAKKA-MUHADDIS-DEHLVI-RAHEMATULLAHI-TA-ALA-ALAYHI-farmate hai ki har waha chiz ki jiski mahek na pasand ho is hukum mai dakhil hai chahe waha khane wali chiz mai se ho ya na ho (ASHIATULLAMAAT-JILD-1 SAFA-328)

HAZRAT-E-HASAN-BISRI-RAZIALLAHO-TA-ALA-ANHO-Se batarike mursal riwayat hai ki huzur- ALAYHISHSALATU-WAS-SALAM ne farmaya ki ek jamana ayesa ayega ki log masjido ke andar duniya ki baate karege to us waqt tum un logo ke pass mat baythna-khudaya ta-ala ko un logo ki kuch parwaha nahi. (BAYEHEKI)


HAZRAT-SEKH-MUHKKIK-RAHEMATULLAHI-TA-ALA-ALAYEHI likhte hai ki is hadith ka matlab yaha hai ki khudaya ta-ala unlogo se nakhush hai (ASHIATULLAMAAT JILD-1 SAFA-339)

KUCH JARORI MASLE SAMAT FARMAYE

[1] Masjid mai kachcha lassun aur piyaz khana ya khakar jana jayaz nahi jab tak mahek baki to aur yahi hukum us chiz ka hai jiski mahek na pashan ho jayese bidi, sigred, pi kar ya muli kha kar jana-aur jiske muuh mai badbu ki bimari ho ya koi badbudaar dawa lagayi ho to jab tak mahek duur na ho unsab ko masjid mai anamana hai-issi tarah masjid mai ayesi machim aur diya salayi jalana ki jiske ragadne mai mahek udti ho mana hai- (DURR-E-MUKHTAR ‘RADDULMUHTAAR’ BAHAR-E-SHARIAT)

[2] Masjid mai matti tel jalana haram hai magar jab ki unki mahek bilkul duur kardi jaye. (FATAWA RAZVIYA JILD-3 SAFA-598)

[3] Masjid ke karib koi makan masjid se ucha ho to koi harz nahi isliye ki masjid un zahiri diwaro ka naam nahi balki us jagaha ke mukabil sato aasmaan tak sab masjid hai- issi tarah DURR-E-MUKHRAT mai hai.

[4] Masjid mai jate waqt pahele dahina pao andar rakhkhe aur yaha dua padhe- “ALLAHOMMAFTH-LI-AWWA-WA-RAHMATIKA” yani aye allah! Tu apni rahemat ke darwaze mere liye kholde.


[5] Masjid se nikalte waqt pahele baya pao bahar rakhkhe aur yaha dua padhe- “ALLAHOMMA-INNI-AS-ALUK-MIN-FAZLIK” yani aye allah! Mai tujhse tera fazal magta ho.

EID WA BAKRA EID KA BAYAN

HAZRAT-E-ANAS-RAZIYALLAH-TA-ALA-ANHO -ne farmaya ki nabiye karim ALAYHISHSALATU-WAS-SALIM jab hizrat farma kar madina sharif jagye to huzur ko malom hua ki yaha ke log saal mai 2-din khel kud karte hai khushi manate hai, us par huzur ne logo se pucha ki yaha 2-din kaise hai-logo ne kaha in dono ham logo musalman hone se pahele khushiyan manate hai khel-kud karte hai. Huzur ALAYHISHSALATU-WAS-SALAM ne farmaya ki allah tala ne tumhare liye un 2-din ko unse achchhe dino mai badal diya hai un maise ke eid aur dusre bakraeid hai. (ABU_DAUD

HAZRAT-E-ABUL-HUWYARAS-RAZIYALLAH-TA-ALA-ANHO- se riwayat hai ki rasul-e-karim ALAYHISHSALATU-WAS-SALAM ne amr inbn-e-hazm ko jab ki wah nazran mai thhe likha ki bakraeid ki namaz jald padho aur eid ki namaz der se padho-aur logo ko waaz sunao. (MISHKAT)

HAZRAT-E-JABIR-IBN-E-SUMERA-RAZIALLAH-TA-ALA-ANHO- ne farmaya ki maine rasul-e-karim ALAYHISHSALATU-WAS-SALIM ke sath eid wa bakraeid ki namaz bagayer azan wa iqamat ke padhi hai ek baar nahi balki kai baar. (MUSLIM SHARIF)

HAZRAT-E-JABIR-RAZIALLAH-TA-ALA-ANHO-ne farmaya ki huzur-sallallah ta-ala alyshi-washsalam- eid ke din ek raste se jate thhe aur dusre raste se wapas ate thhe. (BUKHARI SHARIF)

HAZRAT-E-BURAIDA-RAZIALLAH-TA-ALA-ANHO- ne farmaya ki EID-UL-FITAR ke din jab huzur ALAYHISHSALATU-WAS-SALAM kuch kha na lete eidgaah ko na jate aur BAKRAEID ke din us waqt tak kuch na khate jab tak ki namaz na padh lete. (TIRMIJI IBN-E-MAZ)

KUCH JARORI MASLE

[1] Eid wa bakraeid ki namaz ke baad mushafa karna aur gale milna jayesa ki aamtawr par musalmano mai riwaz hai behetar hai is liye ki is mai khushi jahir karna hai. (BAHAR-E-SHARIYAT)

[2] Awrato ke liye eid wa barakeid ki namaz zayaz nahi isliye ki eidgaah mai mardo ke sath mail-jol hoga aur isiliye ab awrato ko kisi namaz mai jama-at ki hajiri jayaz nahi din ki namaz ho ya raat ki, jume ki ho ya eid barakeid ki chahe wo jawan ho ya budhi ayesa hi TANBIVI-RUL-ABSAAR WA DURR-E- MUKHTAR mai hai-aur agar shirf awrate jama-at kare to yah bhi na zayaz hai isliye ki shirf awrato jama-at na zayaz wa makruh tahrima hai ayesa hi FATWA ALAMGEER JILD-1SAFA80 aur DURR-E-MUKHTAR mai hai- aur agar akele-akele padhe to bhi namaz zayaz na hogi- isliye ki eid wa bakraeid ki namaz ki liye jama-at jarori hai- haan awrate us din apne-apne gharo mai akele-akele nafil namaz padhe to bahut sawab hai.

Moharram-ul-Haram

Yaha mahina Allah ka mahina hai aur Allah ke mahino mai neki ka sawab bahut zayda hai magar gunah ka azab bhi itna hi zayda hai. Magar afsos ki is Mubarak mahine mai ham musalman, bidda-at, rsumat gunah wa kharafat ka shikar rahete hai. Shaher  aur gao mai awrato ka saj banker gharo se nikalna aur gayer mahramo ko apane husn ka jalwa dikhana aur khud gayer mardo ko dekhna hi mamuli gunah nahi is par gazab yaha ki damne asmat ki dhazziya hona, gayer muslimo se islam ki hassi udwana.

Musalmano ko chahiye ki rafziyon ke anusarra se bachhey khud bhi aur apni auwrato aur bachchho ko bhi bachaye. Alam ,takht, taziyon se ahele sunnat ko koi lagaw nahi na deen mai iski koi asliyat hai fir baza adi to yaziti kaam hai aur kabira gunah. Haan nazro niyaz ki ye Allah ke yaha maqbul hai jayeda se jayeda sawab  pahuchaye. Apne ghar ke murdu khash kar karbala ke shahido wa aur buzurgane deen ko ki iska sawab bahut hai aur jo sawab pachchaye usko 10 guna azar milta hai. (Iqbal ahemd nori)

Hazrat sallallaho-alaye-wa-sallam farmate hai – mujhe Allah par gumaan hai ki ashura ka roza ek pahele ke gunah  mita deta hai. (sahi muslim) ashura muhorram-ul-haram ki 10 vi tarikh ko kahete hain, awliya ikram farmate hai jo adimi ashura yahi 10 moharram ko 2 rakat namaz is tarah padhey ki paheli rakat mai sure:fateha ke baad sure an-aam aur dusri rakat mai sureh:fateha sureh:yaseen, usse 1000 baras ki ibadad ka sawab milta hai.

My Name is Saeed and this is how I accepted Islam

My Name is Saeed and this is how I accepted Islam.

Mere Naam Saeed Hai, Mai 34 Saal Ka Hu Aur Mai Sweden Mai Rehta Hu. Last Month Of June Maine Apni Shahada Liya Aur Iske Sath Mai Apne Khubsurat Religion Islam Mai Agaya. Yeh Rahi Meri Kahani – Kaise Maine Islam Qaboola (How I Accepted Islam).

Islam Ke Bare Mai Janne Se Pehle, Mai Bilkul Bhi Is Religion Ke Bare Mei Janna Nahi Chahta Tha, Mere Liye Yeh Aisa Tha Jaise “Dusro Ke Liye, Naa Ki Mere Liye”. Mai Ek Catholic Tha Par Mujhe Isse Koi Fark Nahi Padta, And Lakbhag Mujhe Christian Dharm Kabhi Samjh Hi Nahi Aaya, Subhanallah!! Kabhi Mujhe Koi Logic Nahi Samjh Aaya. Isliye Mai Hamesha Ki Tarha Ek Normal Life Jee Raha Tha, Ek Western Life Bina Religion Ke Bare Mai Soche. Islam Qabool Karne Se Pehle Mai Lagbhag Ek Nastic Hi Tha.

Kaise Mujh Jaise Islam Na Manne Wala Admi Ek Islamic Bangaya? Waise Yeh Sab 2011 Ki Sardiyo Mai Suru Hua, Jab Maine Muslim’s Se Milna Shuru Kiya Facebook And Real Life Mai, Mere Philistine Activity Ke Zariye. Dusre Non-Muslims Ke Tarha Mai Bhi Islam Ke Bare Mei Kuch Nahi Janta Tha Aur Isi Tarha Maine Apne Naye Muslim Dosto Se Sawal-Jawab Karna Suru Kiya. Ek Baat Jo Mujhe Chawka Gayi Wo Thi, Ki Wo Sab Ek Hi Jawab Dete The, Halaki Sab Ek Dusre Se Kafi Alag The Par, Unki Knowledge Aur Unke Answer Ek Hi Hote The. Halaki Wo Itna Zyda Muslim Tarike Par Chalne Wale Bande Nahi The Fir Bhi Unki Knowledge Islam Pe Ek Hi Jaisi Thi Aur Wo Hamesha Mujhe Batate Ki Mujhe Kaha Se Islam Ke Bare Mai Aur Malumat Quran Se Kaise Hasil Karna Chahiye. Yeh Bat Mujhe Bahot Achi Lagi Unke Bare Mei, Unki Har Ek Bat Mai Logic Hota Tha Jo Mujhe Catholic Hone Par Nahi Dikhayi Pada.

Muslamano Se Bat Karne Ke Bahot Pehle Se Hi Mai Quran Ki Tilawat Suna Karta Tha, Mujh Mai Hamesha Se Ek Wo Bat Thi Jo Mujhe Wo Tilawat Bahot Hi Khubsurat Sunayi Padti Thi, Jabki Mujhe Arabic Mai Kuch Samjh Nahi Ata Tha. Maine Bahot Bar Quran Ki Tilwat Karte Huwe Tilwat Karne Wale Ko Rote Huwe Suna Aur Yeh Bat Mujhe Chhu Gayi. Ek Raat Maine Khawab Mai Quran Ki Tilawat Suni Aur Pata Nahi Kaise Maine Wo Arabic Mai Kaha Gaya Har Ek Word Samjh Liya, Jabki Wo Arabic Mai Hi Tha. Aur Mai Ek Masjid Dekh Pa Raha Tha Us Khuwab Mai.

Us Wakaye Ke Baad Maine Islam Ke Bare Mai Janne Ke Liye Bahot Research (khujbeen) Ki, Aur Sabse Pehla Kaam Maine Suar Ka Gosht Khana Chora, Kyunki Achanak Hi Maine Wo Gosht Khana Bahot Hi Ganda Paya. March 2012 Mai Maine Quran Swedish Zabaan Mai Suru Se Padhna Suru Kiya, Aur Iske Sath Hi Meri Zindagi Badal Gayi. Mai Puri Tarha Se Kho Gaya Ismai, Ismai Mujhe Wo Sare Jawab Mile Jo Ki Mujhe Chahiye Thhey Islam Qabool Karne Ke Liye, Padhte Huwe Mere Dimag Mai Sawal Aate, Allah (SWT) Kya Kehta Hai, Subhanallah, Jab Mai Dusra Page Palatta Toh Mujhe Wo Sawal Ka Pura Jawab Is Qadar Milta Jaise Ki Allah (SWT) Ne Mere Dimag Mai Wo Sawal Dala Ho Aur Fir Uska Jawab Khud Diya Ho, Issi Se Mujhe Laga Ki Allah Mujhe Hidayat De Raha Hai Sahi Raste Par Chalne Ki. Aur Jab Maine Padha Ki Allah Sirf Unhe Hidayat Deta Hai Jinhe Wo Chahta Hai Toh Maine Khud Ko Bahot Hi Humble Paya, Aur Bahot Bar Maine Khud Ko Rote Paya. Fir Allah (SWT) Aur Uske Pyare Rasool Mohammad (PBUH) Ke Liye Puri Izzat Ke Sath Maine Namaz Padhna Sikha. Aur Jab Mai Quran Padhta Aur Namaz Ada Karta, Mere Dil Mei Ek Bahot Achi Si Feeling Aati, Jisse Samjha Pana Bahot Hi Mushkil Hai. Mai Bus Itna Keh Sakta Hu Ki Sab Kuch Achanak Se Bahot Hi Acha Ho Gaya, Aur Mera Nazariya Kuch Bato Ki Taraf Badal Gaya.

 Mere Ek Dost Ne Mujhe Kaha Ki Mujhe Paas Hi Ek Masjid Mai Jana Chahiye Aur Waha Ke Musalmano Aur Imam Se Bat Karni Chahiye, Aur Janna Chahiye Ki Wo Kya Kehte Hai. Isliye Maine Baroz Juma Paas Hi Ki Ek Masjid Jane Ka Faisla Kiya Aur Waha Ke Imam Se Bat Ki Namaz Ke Baad, Aur Wo Bahot Hi Khus Huwe Mere Bare Mai Jankar, Aur Dusre Musalmano Ne Bhi Meri Batein Suni, Aur Wo Bahot Khus Huwe Mujhse Milkar, Waha Sab log Bahot Achi Tarhe Mile Mujhse Mashaallah Aur Maine Khud Ko Unmai Se Ek Hi Paya. Jab Mai Waha Tha Tab Hi Maine Socha Ki Mujhe Sahada Leni Hai Aur Musalman Banna Hai. Mai Ander Se Pehle Se Hi Islam Qabool Chukka Thha, Mai Roz Namaze Ada Kar Raha Tha, Aur Maine Sari Buri Adatein Jaise Ki Sharab, Smoking Chor Di Thhi. Jaise Ki Maine Kaha, Saturday, June 02, Maine Kaha “Ash-Hadu AnLa Ilaha Illa Allah, Wa Ash-Hadu Anna Mohammadan ‘Abduhu Wa Rasuluhu” Aur Us Waqt Aisa Laga Jaise Maine Puri Duniya Hi Paali.

Aur Jabse Maine Islam Qaboola Hai Meri Zindagi Bahot Hi Khusnuma Ho Gayi Hai, Sab Kuch Acha Hai, Mai Allah (SWT) Ka Sukar Ada Karta Hu Ki Usne Mujhe Sare Rizq Diye. Aur Is February  Main ek Bahot Hi Khubsurat Muslima Ladki Se Shadi Ki, Jo Ki Morocco Se Hai. Aur Ab Hum Apni Aghhey Ki Zindagi Ek Ache Musalman Banke Guzarna Chahte Hain.



Casual Discussion with Adv. Faiz Syed on Muslim Marriage System


Sunday, July 28, 2013

Pyare Nabi Ki Pyari Baatein

[1] Asli momin wah hai jiske akhlak sabse achchhe hai. Aur tum mai sabse achcha admi wah hai jo apni awrato ki liye achchhe hai.

[2] Agar kisi admi ko sajda karna jayaz hota to mai awrat ko hokum deta ki wah apne shwhar ko sajda kare, kyonki allah pak ne usse fajilat de rakhkhi hai. (likin allah ke alawa kisi aur ko sajda karna haram hai).

[3] Aaj raat bahut si awrate mere pass aai, wah apne shwharo ki shikayat kar rahi thhi, sono jo admi apne awrat ko taklif deta hai, wah achchha admi nahi.

[4] (aap ek baag mai thhe ki ek unth ne aapko aakar sajda kiya)sahaba ne kaha-yah to na samajh janwar hai,isne apne rasul ko sajda kiya,ham to samajhdar hai, fir to hamai jayda munashib hai. Yah baat soni to pyare nabi ne famaya-admi ke liye jayaz nahi ki wha kisi admi ko sajda kare.agar ayesa jayaz hota to main awrat ko hokum deta ki wha apne shwhar ko sajada kare.

[5] Jo apne ghar walo ke liye achchha ho wahi achchha admi hai. Mainapne ghar walo ke liye tum mai sabse behetar ho.

[6] Awrat tumhari tedi pasli se payda hui hai, wah tumhare liye kabhi shidhi nahi ho sakti.isliye usse nafa hashil karna chaho to kar lo aur shidha karne koshish na karo warna wah tot jayegi, uska totna talak hai.(muslim sharif) “Peshkash-maulana gufran raza barkati-sagwada”

[1] Julam se bachu kyonki julm ki nahusat se qayamat mai adhere mai rahena padega uar lalach wa kanjushi se bacho kyonki in dono ne tumse pahele walo ko tabaha kar diya.

[2] Qayamat ke din martabe ke etabar se sabse bura admi wah hoga jo dusru ki duniya abaad karne ke chakkar main apni akhrat tabah kar dale(jayse ki duniyakar maa-baap apni awlad ke shandar mustakbil ke liye apne farz bhi ada nahi aur bachchho ki har jarorat puri karne ke liye fikrmand rahete hai).


[3] Jiske dil main akhrat ki bhalai ki khwhish hoti hai allah pak usse sukun ada fermata hai aurr logo sse beniyaj kar deta hai. Aur jiske dil mai dunaya ki talab hoti hai, allah pak usse dawlad ki kami ke ayhsas mai mubtala farma deta hai. (wah sochta hai ki mere pass to bahut kam hai) 

Pakiza Nek Banate Hain Roze

Roza insaan ko nek wa pakiza banata hai. Roze ki barakat se insaan ki bahut si akhlaki burayiya bhi dur ho jati hai. Ramzan apne sath nekiyon ki bahar le kar ata hai. Pura mauhol islamic kirdar wa khushbu se mahek ne lagta hai. Roze ki halat mai insaan aur rab ka itna farmabardar ho jata hai ki kuch karne se pahele sochta hai ki yaha kaam roze ki halat mai karna chahiye ki nahi. Uska yahi haal wa khayal usse ramzan ke baad bhi bahut si burayion se bacha deta hai. Roze ki pabandiyon ka asar rozdar ki zindagi par zarur padta hai. Roze ki barakat se momin ki ruh mai nikhar aa jata hai. Usse nekiyon ki tawfik milati hai. Gunah se dur rahane ka ayehesas usse hamesha yaad dilata raheta hai ki agar roze rakh kar bhi gunah ke kamo mai fase rahe to din bhar bhuke-piyase rahene se koi fayeda nahi milega. Aur roze ka maksad aur falsafa bhi yahi hai.

Har saal puri duniya ke musalman ramzan ke pure mahine ka roza rakhte hai, raat mai khash namza TARABIH mai Quran sunte hai, khwm ke garibo ki madad karte hai. Har adimi apni-apni haisiyat ke mutabik sadka-khayrat karke samaz mai islami bhaichargi ke zashbe ko bedaar karta hai. In saari tabdiliyon ki wazah se ramzan ko BAHARO KA MAUSAM bhi kaha jata hai jis mai momin ki islami zindagi mai nekiyon ki bahar aa jati hai.

Ramzan ka roza farz hai. Bina sarayi mazburi ke chhodne ki izazat nahi. Agar kabhi kisi mazburi se koi roza chhot jaye to uski Qaza zaruri hai. Qaza rakh lene se farz ada ho jayega lekin ramzan ki barkatein hasil nahi hogi. Agar koi adimi jaan bujh kar bina kisi mazburi ek roza chhod de aur uske Kaffare mai ek saal (One years)tak roza rakhkhey to bhi wah sawab nahi pa sakega jo ramzan mai ek roze rakhne par milta hai.


Roze ki halat mai, ramzan ke mahine mai din-raat mai ki jane wali ibadato ka sawab bhi badha diya jata hai. Har neki ka sawab 10 se 70 guna jayeda ataa kiya jata hai. Aur agar banda rab ki raza ke liye koi nek amal kare to usse 700 guna, bhi ataa farmata hai. Uske karam ki thah nahi. Isliye har tarah ke achchhey-bure log is mubarak mahine mai neki ke kaamo mai dilchashpi lene lagte hai aur gunaho ki mahefeelo mai shariq hone se bachte hai. Yaha ramzan ki hi barkatein hai jiska asar bachchey, budhey, jawan aur mard-awrat sab par padta hai. Allah paak apne habib ke sadke mai hame ramzan ki Qadar karte huwe uska haq adaa karne ki tawfiq de..Ameeen!

Wednesday, July 24, 2013

Hindi Islamic SMS

Namaaz ki shaan

Jab tum namaz k liye khare hote ho
to sir se asman tak rahmat-e-ilahi
ghata ban k cha jati hai,
farishtay charon taraf jama ho jate hain.
Ek farishta pukarta hai k
ay namazi agar tu dekh lay k
tere samnay kon hai or tu kis se bat ker raha hai to
Allah ki qasam tu qayamat tuk salam na phere.

.............................................................................................................

Wo gunah jis ka tumhein ranj ho

Wo gunah jis ka tumhein ranj ho,
Allah k nazdeeq us nayki se behtar hai
jis se tum main ghuroor paida ho jaye".
(Hazra Ali R.A)
............................................................................................................

Quran ka mojza

Quran ka mojza
Lafz "Al-bar" yani "Zameen"
Quran pak main 13 baar aaya hay.
Or
Lafz "AL-Bahar" Yani "Samandar"
32 bar aaya hay.
Total 13+32=45
Zameeni Elaqa:13/45x100=28.89%
Samandri Elaqa: 32/45x100=71.11%

Yani dunia main 28.89 % zameen hay
or 71.11 % samandar hay.
Khushki or pani ka bilkul yahi ratio
aaj ki jadeed science ne daryaft kia hay.
Lekin QURAN PAK ne
1400 saal pehle ye ratio bata dia.

.............................................................................................................

Islam is so easy

ALLAH k khouf se
sirf 1 gunah chor dena
1 lakh tahajud/nafil
namaz se barh kar hai,

Forward this message
so people should know
that ISLAM is so easy.

..............................................................................................................

AAP (S.A.W) per 1 bar darood parhta hai

1 DIN Hazrat Jibrail (A.S) Huzoor (S.A.W)
k paas aye or kaha ALLAH ne mujhey itni taqat di hay k
main sari dunia k darakhton k pattay gin sakta hon
or pani k saray qatray or rait k saray zarray gin sakta hon
lekin us aadmi per rehmat ki tadad nahin gin sakta
jo AAP(S.A.W) per 1 bar darood parhta hai"

..............................................................................................................

Jannat k 8 darwazay hain

Jannat k 8 darwazay hain,
1.Jannatul mava
2.Darul maqam
3.Darul salam
4.Darul Khuld
5.Jannatul adan
6.Jannatul naim
7.Jannatul Kashif
8.Jannatul firdos

Allah se dua hay k roz-e-qiyamat
her darwazay se
ap ka nam pukara jaye."aameen"

..............................................................................................................

NABI KAREEM S.A.W ne farmaya

NABI KAREEM S.A.W ne farmaya:
"libas ki sadgi iman ki alamaton
main se aik alamat hai."

ABU DAUD
(Allah us shakhs ko abad rakhta hai
jo hadis sun k dosre ko phnchaye!)

..............................................................................................................

Agar tum kisi ko chota dekh rahe ho

Agar tum kisi ko chota dekh rahe ho,
to tum use door se dekh rahe ho,
Ya phir gharoor se dekh rahe ho
(Hazrat Ali(R.A)"


Islamic hindi Sms

Tumhara ek Rab hai phir bhi tum
usey yaad nahi karte
lekin Uske kitne bande hai phir
bhi wo tumhe nahi bhulta

................................................................................................................
ZAMZAM" Jesa Koi pani Nahi

"NAMAZ" Jesi Koi Ebadat Nai

"HAJJ" Jesi Koi Ziyarat Nahi

"ISLAM" Jesa Koi Mazhab Nahi

"QURAN" Jesi Koi Kitab Nahi

"MADINE" Jesa Koi Sheher Nahi

"KALME" Jesi Koi Dolat Nahi

"DUROOD"Jesa Koi Khazana Nahi

Aur

"RAMZAN" Jesa Koi Mahina Nhi..

................................................................................................................
Marhaba Sad Marhaba Phir Amid E Ramazan Hai

Khil Uthe Murjhaay Dil Taza Hua Emaan Hai

Hum Gunah Garon Pe Kitna Bara Ehsan Hai

Ya Rab Tu Ne Ataa Phir Kr Dia Ramazan Hai

................................................................................................................
Hara gumbad jo dekhoge zamana bhool jaoge,

Kabhi jab tayba jaoge to aana bhool jaoge.

Tumhare samne hoga kabhi jab gumbade khazra,

Nazar jam jayegi us par hatana bhool jaoge.

Na itrao zyada husn par ay chand taron tum,

Rukhe anwar ke aage jagmagana bhool jaoge.

Kabhi akar ke dekho mahfile naate shahe di'n men,

To mera dawa hai gana bajana bhool jaoge,

Nabi ke dar ki sookhi rotiyon menaysi lazzat hai,

Shahenshahon ke ghar ka aab o dana bhool jaoge!

................................................................................................................
"Vekh asman te urrde panchi,
Na o karde rizq zakheera,
na o Bhookkay marde ne,
Bandey hi karday rizq zakheera,
Bandey hi bhookkay mardy nay".

"Bulleh shah"

................................................................................................................
Dil mein tofaan-e-khayal ­at liye phirta hun

Lab pe Muhammad k nagmat liye phirta hun

Maine Taiba mein ghata daikhi hairehmat ki

Iss liye ankho mein barsat liye phirta hun

Kuch shab-o-roz Madine mein ghuzare thay kabhi

Ab tasawur mein wo din raat liye phirta hun

Phir mujhe dar pe hazri ki tamanahai huzoor

Phir wohi shidat-e-jazbat ­ liye phirta hun

Dar pe bulwa k sunay kash wo rudad meri

Sooz'amaiz hakayaat liye phirta hun

Or jeenay ka sahara nahi mera koi

Aap k dar ki soghaat liye phirta hun

................................................................................................................
QURAN E KARIM kehta hai,
.
"Meri ziarat karo ge to GUNAH bakhashwa doon ga.

Mujhe pado ge to REHMAT ki barish kar doon ga.

Mujhe yaad karo ge to HAFIZ bana doon ga.

Mujhe lehje se pado ge to QARI bana doon ga.

Mujhe padane betho ge to USTAD bana doon ga.

Mera tarjuma karo ge to AALIM bana doon ga.

Meri tashreeh karo ge to MUFASSIR bana doon ga.

Meri taqreer karo ge to MUBALLIGH bana doon ga.

Mere mutabiq faisla karo ge to QAZI bana doon ga.

Mere upar amal karo ge to WALI-ALLAH bana doon ga.

................................................................................................................
Qismat badal jayegi zara dil se duakaro,

Dunya bhi hil jayegi agar dil se dua karo,

Din raat main ik lamha qabooliya ki ghari hai,

Manzil bhi mil jayegi agar dil se dua karo.’

................................................................................................................


khulasa e Quran - Surah Kahf in Urdu

Part 1

Part 2


Tuesday, July 23, 2013

Wazoo Ka Sawab

Jo admi farz namaz ada karne ke liye ghar se wazoo karke masjid jaye to usse utna sawab milta hai jitna ayeheram bandh kar haj ke liye jane wale ko milta hai. Allah ke pyare rasul ne farmaya – Jo taharat hashil kar ke apne ghar se namaz ke liye nikala usse ayeheram bandh kar haj ke liye nikalne wale ke jitna sawab milta hai. Jo chast ki namaz ke liye nikla usse umra karne wale jayesa sawab milta hai.

Aur jo admi waju karne ke baad Asmaan ke taraf muuh kar ke yah dua kare -
ASHAHADO-ALLAH-LAYELAHA-ILLALLAHO-WADAHU-LA-SARIKA-LAHU-WA–ASHHADO-ANNA-MUHAMMAD-ABDUHU-WA-RASUL-HO.
uske liye jannat ke 8 darwaje khol diye jate hai. aur yah dua bhi padhna chahiye.
ALLAHUMMIZ-ALNI-MINT-TAWWABIN-WAZALNI-MINAL MUTTAHHEREEN.

Pyare Nabi S.A.V k pyare Irshadat

  • PAYARY NABI (S.A.W) k
    “Piyare irshadad
  • “jo shaks fahash baat ko agay phelata hy
    usko marte waqt Kalma naseeb na hoga”
    “Wo shakhs jannati hy jo
    raat ko soney se pehly sb ko maaf kr k soye.”
    “JO BANDA MUJH PAR JUMA K DIN OR JUMA KI RAAT
    KASRAT SAY DUROOD PAK PARHE GA,
    US KA DROOD PAK MAI KHUD KANO SE SUNO GA
    Or
    AAP(S.A.W) NY FARMAYA
    “JIS NE MERI 1 HADIS SUNI OR PHIR
    DOSRON TAK PUHNCHA DI US K LIYE
    QAYAMAT K ROZ MERI SHAFA’AT WAJIB HO GI.
.....................................................................................................................................

Aqwal-e-Zareen

  •  Wo GHAM jiskay milnay par tumhara rujou ALLAH ki taraf ho jaye,
    Uss KHUSHI say behtar hay jiss kay milnay par tum apnay MALIK ko bhool jao!
  • Tum apne ikhlaq Ko itna Buland Karo k Doosray Log Dekh Kar Kahain…
    “Agar UMMAT aisi hai to in ka ‘NABI’ kesa Hoga!”
  • Us “Shakhs” Pr Jitna B Afsos Kia Jaye Kam Hy
    Jo “AQL”Hony K Ba’wjood iStmaL Na Kry
    “OR” iZZAT Hony K Ba’wjud Apni “iZZAT” Ka KhayaL Na Karay.
  • 1~ Agr ghalat fehmiyan door na ki jaein,
    To wo nafraton me tabdil ho jati hain.
    2~ Jo shakhs tum se dosron k aib bayan krta hay,
    Wo yaqeenan dosron se tumhari burai b bayan krta hay.
    3~ PAANI bano jo apna rasta khud bnata hay,
    PATHAR na bano jo dosron ka rasta rok leta hain
  • Jo dosti OR muhabat INSAN Ko Apny KHALIQ Sy Door Kar Dey
    Us Sy Bacho Q K Us Sey Barh Kar Koi Dushman Nahi,,,
  • “Jab tumhein khushiyan milney lagein tou 3 cheezon ko kabhi na bhoolo.!
    1- “ALLAH ko
    2- “Uski makhlooq ko
    3- “apni asliyat ko..
  • “Eatbar aur piyar do aisay Prinday hain…
    K Agar in mein se aik urr jaey to,
    doosra khud he urr jata hai”
  • Dunia me agr 6 chezen tumhare pas hon to tmhen kbi nuqsan na hoga
    1.Achi Zuban,
    2.Acha Dost,
    3.Amant Dari,
    4.Khush ikhlaqi,
    5.Rizq’e Halal,
    6.Maa ki Dua
.....................................................................................................................................

Aqwal-e-Zaren

  • Agar Muhabbat un se na mily jo tumhare pyaare hain Tou phir Muhabbat un ko zaroor dena jin k tum pyaare ho.
    .....................................................................................................................................

    Gunahon Se Touba Ki Dua

    • Gunah Ko Phelany Ka Zariya Kabhi Mat Bano
      Q K Ho Sakta Ha Tum To Toba Kar Lo
      Per Jis Ko Tum Ny Gunah Pey Lgaya
      Wo Tmhari Akhirat Ki Tabahi Ka.
    .....................................................................................................................................

    Hadis e Nabvi SMS (S.A.V) About Namaz

    • Hadis e Nabvi (S.A.V)
      ZAWAl k Waqt namaz Mat Pahro,
      Medical Science Says k Zawal k Waqt Ager
      koi Shakz Apna Maatha Zameen pe Lagata Hai
      To Usy BRAIn HAMBRIDGE hone ka Khatra hota hai
      .
      Medical Science ne aaj Mana Hai HAZOOR S.A.V
      Ne Yeh Baat 1400 Saal pehle bata di
      SUBHAN ALLAH
    • .....................................................................................................................................


     




     

Monday, July 22, 2013

Kuch Islamic Malomat Wa Hadith

[1] Apni Nigaho ka khayal rakhkhe.
Mere muslim bhaiyon apne nigaho ki hifazat kiya karo,  jabhi road mai chalo to apni nigahe nichhe kar ke chalo main aksar dekhta ho ki bahut se log chowk par bath jate hai aur har ane jane wali be parda awrato ko dekhte hai, ye bahut badi galti hai hamari iska bahut sakht azab hai ek nazar maaf hai lekin iska matlab ye nahi ki jab tak aapki palke jhapke nahi jab tak aap dekhte hi raho, aap iska khayal kare aapki zindagi ke liye behetar hoga, apna iman banay rakhkhey –

 [2] 3-Badnashibiyan.
1- Jis ke samne rasul paak sallallaho alaye wa sallam ka jikar kiya gaya aur usne darud sharif nahi padh waha bad nashib hai.
2- jisse ramzan sharif ka mubarak mahina nashib huwa usne roza rakh kar aur dusri ibadatein kar ke jannat mai jane ka saman nahi
kiya aur ramzan ka mubarak mahina laparwahi aur gaflat mai bita diya wah bad nashib hai.
3-Jisne apne budhey maa-baap ko unki khidmat karke khush nahi kiya waha badnashib hai.

[3] Insan ki tabahi in 3 baato me hai!.
1- Tauba ki ummid pe gunah karna
2- Zindagi ki ummid pe tauba na karna
3- Aur tauba kiye bagair duniya se rukhsat ho jana..
Nabi-e-Kareem sallallahu alayhi wasallam ne farmaya : apne gharo ko tilawate quran se munawwar karo. jish ghar me kasrat se tilawate quran hota hai waha barkatein bhi zyada nazil hoti hai.

[4] Hadith Sharif.
Abu-huraira-raziallah-anhu – se riwayat hai ke rasulallah sallallah alaye wa sallam ne farmaya – tum mai se jo shaks imaam se paheley apna sir uthata hai kiya usse khawf nahi ata ke kahin Allah ta’la iska sir gadhey ka na banadey. (Shahi-Bukhari)

[4] Zilhij (Bakraeid) Mahine Ki Kuch Ibadatein.
10vi tarikh tak har isha ki namaz ke baad 2 rakat namaz is tarah padhey ki har rakat mai, Sureh fateha ke baad 3 baar kulhuwallah sharif padhey. Allah paak apne karam se buland makam ata farmayega, hazar nekiya ka sawab aur hazar dinaar khairat karne ka bhi sawab ata farmayage.

[5] Sone se pahele Allah se tawba kar liya karo.
Jab insaan ko sukun ki kami mahsush ho to Allah paak se tauba kar leya karo, kyon ki insaan ke gunaah hi hai jo dilo ko bechain rakhta hai. Insaallah roz sote waqt jaane anjaane mai jaanboojh kar jo bhi gunah hum log se ho jaate hai us baat ko yaad kar ke Allah paak se apne gunaaho ki tauba kar ke soya kare insaallah har din aap ka beheter din hoga.

Zilhij (Bakraeid) Mahine Ki Kuch Ibadatein

[1] Chand raat ko 4 rakat nafil is taraha padhey ki har rakat mai, Alhamdo ke baad 25 baar kulhuwalllah sharif padhey. Allah paak pane fazl se besumaar sawab ata farmata hai.

[2] 10vi tarikh tak har isha ki namaz ke baad 2 rakat namaz is tarah padhey ki har rakat mai, Sureh fateha ke baad 3 baar kulhuwallah sharif padhey. Allah paak apne karam se buland  makam ata farmayega, hazar nekiya ka sawab aur hazar dinaar khairat karne ka bhi sawab ata farmayage.

[3] Juma ke din 6 nafil padhey. Har rakat mai, Alhamdo sharif ke baad – 15 baar kulhuwallah shairf padhey aur salam ferne ke baad – LAILAHA-ILLALLAHUL-MALIKUL-MUBIN 10 baar aur darud sharif 10 baar badhey. Iski barkat se Allah paak sabse pahele Jannat mai dakhil farmayega.

[4] Arafa (bakraeid ki 9vi) raat 100 rakat nafil padhne ki koshish kare. Har rakat mai, Alhamdo shairf ke baad ek baar Kulhuwallah sharif padhey. Iski barkat se Allah paak gunaho ko bakhsh dega aur jannat mai surkh yakut ka makam ata farmayega.

[5] Arafa ki raat 2 rakat nafil padhey. Paheli rakat mai, Sureh fateha ke baad 100 baar – Arayetalkurshi aur dusri rakat mai 100 baar kulhuwallah padhey. Is namaz ki barkat se Allah paak isse padhne wale ke alawa uske sath 70 aur dusre adimiyon ko bhi bakhsh dega.

[6] Bakraeid ki raat 12 rakat nafil padhey. Har rakat mai, Alhmad ke baad 15 baar kulhuwallah sharif padhey. Iski barkat se Allah paak gunah maaf farmakar 70 saal ki ibadat ka sawab ata farmayega. INSHALLAH.

Haj Ke 5 Din

8 Jil Hizza – fazr ki namaz haram sharif mai padkar haj ka ayehraam bandh le aur aaj hi tawaf wa sai kar le. Ayehraam bandhne ke baad yo niyat kare –
ALLAHHUMMA-INNI-URIDU-HAJJA-FAYSSIRHO-LI-WA-TAKABBL-HO-MINNI-WA-AHRAMTO-BIHI-LILLAHE-TALA.

Niyat  karne ke baad talbiya (labbayek) padhle. 8 tarikh ko johar  tak mina mai pahuchna hai. Ab chuki bhid bahut hone lagi isliye moallim 7 tarikh ko isha ke baad hi hajiyon ko bas mai sawar kar mina bhejne lage hai. 8 tarikh ko Johar, Ashar, Magrib aur Isha ki namaz mina mai hi padhni hai. Jayeda se jayeda waqt zikr wa ibadat mai guzare.

9 Jil Hizza – fazar ki namaz ke baad mina se arafa ke liye rawana hona hai. Johar aur Ashar ki namaz arafa ke maidan mai padhni hai. Masjid-e-namura mai Johar wa Ashar ki namaz ek ke baad ek ada ki jati hai lekin kheme mai namaz padhne wale johar ke waqt mai johar ki namaz aur ashar ke waqt mai ashar ki namaz ada karege. Aaj haj ka khash din hai. Khub-khub ro-rokar apne aur sab ke liye duaye mage aur ashar ki namaz ke baad –
CHAWTH KALMA – 100 BAAR, DUSRA KULHUWALLAH – 1000 BAAR , DARUDH SHAIRF – 100 BAAR, AYETEKARIMA – 100 BAAR, ASTAGFARULLAH – 100 BAAR, AUR ALLAHHUMMA-INNAKA-AFUYUN-TUHIBBUL-AFW-FA-AAFO-ANNI padhey.
Suraj dubne ke baad muzdlefa jana hai aur magrib ki namaz wahi padhni hai. Muzdlefa pahuch kar magrib aur isha ki namaz ke baad kuch deer aram kar le. Raat ibadat mai guzare aur yahi se shayetan ko marne ke liye kam se kam 49 kankriya chun le. Kankriya jayeda badi na ho. 10 tarikh ko subha fazar ki namaz padh kar mina ke liye chalna hai.

10 Jil Hizza – Mina pahuch kar sabse pahele 7 kankriya lekar bade shayetan ko kunkari marne jana hai. BISMILLAH-E-ALLAHO-AKBAR padhte huwe ek-ek kunkari pillar mai na pade to uske kinare bane ghere mai zaror gire. Agar koi kunkari uske andar nahi giri to uske badle dusri kunkari marni hogi.
Shayetan ko kunkari marne ke baad kurbani karni hai. Agar kurbani ki rakam bank mai jama karwai hai to waha se mile time  ka dhayen rakhkhey. Usse pahele – pehele kunkari marni hai aur uske baad hi baal katwa kar ayehraam Khulna hai. Ayehraam khul kar naha-dhokar ghar jayese kapde pahen kar tawafe ziyarat ke liye jana hai. 10 tarikh ko yaha tawaf karna afzal hai. Tawaf-e-ziyarat se wapas aakar raat mina mai guzarni hai.

11 Jil Hizza – agar 10 tarikh ko tawaf-e-ziyarat na kar sakte to, 11 tarikh ko kare aur waha se wapas aakar tino shayetan ko zawal ke baad kunkari marte huwe apne kheme mai aajaye aur waqt ibadat mai guzare. 11 tarikh ko raat mina mai hi guzarni hai.

12 Jil Hizza – 12 tarikh ko bhi tino shayetano ko jawal ke baad kunkuri marni hai. Agar  10,11 tarikh ko Tawaf-e-ziyarat na kar sake ho to, 12 ko bhi suraj dubne se pahele-pahele kar sakte hai. Yaad rahe. Tawaf-e-ziyarat farz hai.
Teno shayetano ko kunkuri marne ke baad din dubne se pahele – pahele mina se makka wapas aa jana hai. Agar din dub jaye to fir raat mina mai hi guzarni hogi.
5 dino ki is bhag-dhwd mai hamesha yaha khayal rakhkhey ki ham ibadat ke arakan ada kar rahe hai isliye kisi bhi kaam mai laparwahi na barte balki har kaam sahi tarike se ada kare aur Allah ka sukar ada karte huwe apne haj ke makbul hone ki dua mage.

Duniyawi Standard

Aaj har adimi badi tezi ke sath tarakki kar raha hai. Logo ke halat badalte ja rahe hain. Garibi dur hoti ja rahi hai. Logo living standard (rahen-sehen ke andaz) mai kafi tabdili aa chuki hai. Badi achchhi baat hai. Yah tabdili apne aap nahi ayi balki lane ki zeetod mehenat ki gayi hai. Ameerana zindagi aaj ki zarorat banti ja rahi hai. Samaaz mai payees walo ko hi izzat ki nazro se dekha jata hai. In halat ki mazburiyon ne insaan ko jayeda se jayeda kamane par uksaya. Jayeda kamayi ki hawas mai jayeda tar log bahek gaye. Nawkri besha ho ya businessman, har ek ke nazariyon mai fark a gaya. Nawkri besha log mai tankhow se jayeda kamayi ka shawk wa lalach ne na jane kitne haram kaam karne ki shikha diya. Galat tariko se rakam hashil karna ek aam baat ho chuki hai. Jisse ab koi barayi nahi samjhta. Karobari hazrat kam punji mai jayeda nafa kamane ke chakkar mai jhhut-fareb aur milawat wagaira jayese akhlaki jurm karne lage. Had ho gayi ki ab dawaye bhi nakli ane lagi. Yah sab jayeda payees kamane ki hawas mai ho raha hai. Jayeda kamayi ke chakkar mai chakkar mai ameer-gareeb, aam-khash, alim-jahil sab shamil ho chuke hain. Logo ke dilo se Allah ka khawf nikal chuka hai.

Kuch logo sochte hain ki kamayi kaiyesi bhi ho, haram kamayi bhi zakat den eke baad halal ho jati hai, isliye ghabrane ki zarorat nahi. Zakat dege, achchi niyaz kar dege, masjid-madarso mai chanda de dege, sab thik ho jayega. Kitni badi nadani hai. Sharab mai dudh mila dene se sharab zayaz nahi aur paak nahi ho sakti. Issi tarah haram tarike se kamaya maal har haal mai haram hi rahega, bhale adhi dawlat nek kamo mai kharch ki jaye. Ayesi kamayi ki khayerat bhi Qabul nahi hoti.

Haram kamayi ke nukshanat akhirat mai jo hoge wah to apni jagaha hain, duniya mai bhi uske nukasanaat ka samna karna padhta hai. Tarah-tarah ki bimariyon aur hadesaat wa nuksanaat ke shikar hone ke baad bhi agar  insaan apni hosh ki akhey na khole to in mai kis ka kasur . balki ab to log itne nidar ho chuke haii ki agar galat kaam karne wale toke to waha apne islah ke bazaye jawab deta hai – miya!! Apni dekho. Hamare amal hamare sath. Allah-ho-akbar!! Insaan kitna nidar hogaya hai Allah ki narazgi ka bhi khawf nahi. Yaad rakhiye-Allah paak har nafarmaan ko sudharne ki moholat deta hai, ek dam nahi pakadta aur jab pakad farmata hai to jab chhudta nahi sabhalna muskil ho jata hai.


Khuda ke liye itne nidar na baniye aur halam-halal ko pahechaniye aur duniya aur akhirat ki tabahi se bachne ki har momkin koshish ki jaye. Allah hame tawfik de. Ameen!!

Few Islamic Knowledge

Aye mere dosto kya tum bhul gaye ho ki tumhe us parwadegar ke pass wapas jana hai…kya tumhe nahi pata ki tum jo kar rahe ho usse wo khub wakif hai aur tumhare kartut usse pata hai wo sab janata hai jo tum karte ho aur jo tumhare man mai hai, aur jo tum sochte ho…to kya tumhe us Allah ka dar nahi jo Pori kaynat ka rakhwala hai kya tumhe uska kahena nahi manna chahiye jo usne kaha hai mere matalb un kamo se hai jo Allah ne mana faramye hai aaj ki kawm pata nahi kyon bhatak ti ja rahi hai.

Maine dekha hai ki muslim bachchey na jane kis kis chez ka nasha kar rahe hai jo islamic tawr par haaram hai…ye nasha tumhari ane wali zindagi barbad kar raha hai…kya tum nahi janate ki jis nase ke tum adi ho gaye ho wo ek waqt ane par tumhe kha jayega fir zara socho ki us Allah ke samne kya kahoge jo tumhare har kaam se wakif hai tumhari har achchhi aur puri cheiz usse pata hai..tum jo karte ho wo usse chupa nahi paoge….wo to sab jannne wala hai.

Dosto aaj ka muslam haram aur hala mai farak hi nahi karata hai wo to ayesa ho gaya hai jayese wo duniya mai hi rahega…jayese maine apni pichli post mai halal aur haram ke bare mai likhkha thha…ek hadith mai hai ki – Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Logo per ek ayesa zamana aye ga ke insaan koi parwah nahi karega ke jo is ne hasil kya ha wo Halal hai ya haram hai. (2059: Jild 3; Sahee Bukhari Shareef)….to ab tumhe sochana hai ki tum kya karna chahate ho kya tum jannat mai jana chahate ho yar fir…us jahannam mai jaha ki soch kar  bhi rongte khade ho jayege tumhre.

Maine dekha hai ki baat baat par insaan kasam khata hai aur wo bhi Allah ki jab ki Kasam to Allah ki hi khani chahiye par hamesha nahi… jab insaan fas jata hai ya kuch ayesa ho jata hai ki …uska koi yakin na kare to fir wo Allah ki kasam kha sakta hai.. Aur koi bhi muslman Allah ki kasam jhhuthi nahi khayega ab jara socho agar tum baat baat par kasam khaoge aur fir kabhi ayesa mauka aya ki tumhara koi yakin nahi kar raha ho…fir tum agar Allah ki kasam bhi khaoge to tumhare koi yakin nahi karega..is baat ka bhi khayal rakhna chahiye… Kasam shirf us time par khani chahiye jab uski jarorat ho baat baat bar kasam khana galat hai.

Maine dekha hai ki log kuch bhi kasam kha lete hai, koi bhai ki khata hai koi baap ki aur ayesi hi bahut si kasam hai jo log khate hai…par ayesi koi kasam hai hi nahi…kasam shirf Allah ki hai aur wahi kasam khana chahiye…ek hadith mai aya hai – Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aagr kisi ko kasam khani hi ha to Allah hi ki Qasam khaye, warna khamosh rahe. (2679: Jild 4; Sahee Bukhari Shareef). Isse saaf ho jata hai ki hame shirf Allah ki kasam hi khani chahiye.


Main jobhi likhkha ho sab islami book aur hadith se le kar hi likhkha ho, main apne aap se kuch bhi nahi likha …pas ye post maine tayyar ki hai..inshallah agali post fir se karoga …sunnat aur islam ki rawshni mai…ummed hai aap log is par amal karege…Allah ham sab ke gunah maaf kare aur hame…imaan ke sath duniya mai rahene ki tawfik de…Ameen!!

Sunday, July 21, 2013

Zakat Wa Uski Ahemiyat

Roza namaz ki tarah jakat bhi islam ka ek aahem  farz hai. Yaha bhi ebadad hai jise ada karna jarori hai. Sure bakar: ke pahele hi page par allah ne apne un momin bando ki tariff farmate huwe farmaya-aur hamne unhe jo rozi di hai,usmai se waha meri raah mai kharch karte hai.

Jakat farz hai lekin sab par nahi balki maldaro par hi farz hai. Mehenat banda karta hai, uska far allah deta hai. Har mehenat karne wale ko ek jayesa fal wa enaam nahi milta balki bande ki niyat ke mutabik allah jis bande ko chahata hai, uski rozi mai barkat aata farmata hai. Yaha hakikat hm sab apni akho se dekhte hai.

Hamari kamayi mai dusro ka bhi haaq hai. Issi haaq ko ada karne ke liye aur apne jaroratmand bhaiyon ki madad karne keliye hamare rab ne maaldaro parr jakat farz farmayi. Jakat ka matalb hai-paak karna, badnal . jakat aada karne se maal paak hota hai aur usmai barkat hoti hai. Allah paak ne farmaya- jo log muttaki, parhezgar hai aur apna maal paak karrne ke liye jakat aada karte hai, waha log jahannam se dur rakhkhe jayege. Isliye allah ne apne puyare rasul se farmaya-logo se jakat wasul karke unhe paak wa suthra karo.
Allah ke pyare rasul farmata hai- logo! Apne maal ki jakat aada karke apne maal ko mazbut kilo mai mahefuz karlo. Apne bimaro ka elaz sadka se karo aur bala nazil hone par allah se ro-ro kar uski madad talab karo.


Jo log imaandari se apne maal ki jakat aada kiya karte hai, unke maal mai barkat hoti hai, koi nukshan nahi hota aur jo laparwahi se kaam lete hai unhe tarah-tarah ke nukshan uthhane padte hai. Allah ke rasul ne farmaya- jisse allah paak aata farmayega aur waha apne maal ki jakat ada na kare to qayamat ke din uska wahi maal gaza saap bana diya jayega fir waha uske muuh jabde pakad kar kahega-main tera maal ho main tera khazana ho.  

Valentine Day Aur Islam

Islam mai valentine day manana haram hai..kyon ki ye behuda kaam hai aur…islam iski izazat nahi deta….ye puri tarah se islam ke khilaf hai..aur aaj ke muslim ladke ladkiyon ko ye samjhna chahiye..ye ek bahut hi bada gunah hai …ayese kaamo se bachna hi lazmi hai..insaan ko islam ke qanun par hi chalna chahiye yahi unke liye sahi hai…duniya ke liye bhi aur akhirat ke liye bhi… sare muslim bhai beheno se meri darkhash hai ki…to 14feb..ko ayesa haram kam karen se bachhey ..aur apna imaan kayam rakhkhey..shaitan ko apne upar havi na hone de.

Kyon ki ye behudgi ko bulawa deta hai..aur ayese behudge kaamo se hame parhez karna chahiye…..gair islamic kaamo mai musalmano ko shairk nahi hona chahiye..apne aapko ayese gair islamic aur gunaho mai dubne wale kaamo se bachawo…kyon ki tum momin ho aur momin ka ye farz hai ki wo apna imaan hamesha Qayam rakhkhey.

Bahut se muslim bhaiyon ne mujhs kaha ki…kya ham pyar ka izhar bhi na kare…kya apni premika se mile bhi nahi…main un sab se kahena chahata ho …ki ek sidhi si baat hai…Gair marham aurat ya mard (bina shadi suda) ..jab ye dono ek dusre ke liye haram hai…aur mard ko gair aurat ko dekhana bhi mana hai to …fir ek mooti si baat hai ….ki valentin. day kyon nahi manana cahhiye..aur gair islamic kaam karna to ayese bhi mana hi hai..kuch hadith pesh kar raha ho ummid hai..aap tamam masssg karne walo ko aap ki is baat ka jawab mil jayega….Inshallah!!

Hazrat Mohammed Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya.
Jis gair aurat ko jan bujh kar dekha jaye aur jo aurat apne ko jan bujh kar gair mardo ko dikhlaye us mard aur aurat par Allah ki la’anat hai. (Mishkat sharif Jild 2,Hadees 2991,Safa 77)

Hazrat Mohammed Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya.
Jub mard gair aurat ko dekhta hai ya aurat gair mard ko dekhti hai to dono ki aankhe zina karti hai. (Kashaful mahjub Safa 568)


Hazrat Mohammed Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya.
Jab gair mard aur gair aurat tanhai mai kisi jagah sath hote hai to unme tisra shaitan hota hai. (Tirmizi sharif Jild 1,Bab 794,Hadees 1171,Safa 599)

Zara Socho To Sahi

Jara ye to mujhe samjho…. ki jab koi movie ya hero ki post ham dekhte hai to us page par shamil jayeda se jayda log usse like karte hai..par jab ek islamic page par koi post hoti hai…to us islamic page ki post par 7% se bhi kam like hoti hai..ye mujhe samjh nahi ata

Jara ye to mujhe samjho….jab koi hero apne page par koi photo ye comment post karta hai to hamari ungliya comment kerne se ruke nahi rukti…par jab islamic page par koi islamic photo post ki jaye…to commnet karne ka man nahi karta….ye mujhe samjh nahi ata.

Jara yeto mujhe samjho…jab azan hoti hai aur banda apne ghar mai tv dekh raha hota hai to uska sound bant karne ki bhi zehemat nahi karta…par jab kahi song ki awaz ati hai to wahi band tv ka sound jab tak off rakhta hai jab tak song ki awaz band na ho jaye ….ye mujhe samjh nahi ata…

Fir sochta ho ki ye ayeso aram ki duniyavi zindagi…ek momin ko apni asal akhirat ki zindagi se kitna door karti ja rahi hai….Jara soch to hamari kitni zindagi baki hai…fir kyon na ham shaitaan se kuch duuri bana kar rahe….60-70 saal ki is zindagi mai insaan sare bure kaam karne se baaz nahi ataa…shayad insaan bhul gaya hai ye duniya….to ek khowab hai….kya pata kab akhey khul jaye aapki …aur aap apne asal duniya mai pahuch jao…ye Salman..Sharukh…Tv ki duniya hamare kaam nahi ane wale…

Jara socho to….sahi!!  Jara socho to…sahi!!

Ramzan Sharif Ki Ibadatein Aur Sawab

Jo admin ramzan sharif ki raat mai 10 rakate is tarah padhey ki har rakat mai SURE FATEHA ke baad 2 baar SUREH KADR padhey to sarkar ke farman ke mutabik usse 70 raat jang kar ibadat karne , 70 denar khairat karne aur 70 gulam azad karne ka sawab milega. Allah paak uske 70 hazar gunah maaf farmayega aur nekiyon ke sath uska hasr farmayega.

Jo admin ramzan ki har raat 2 rakat is tarah ada kare ki har rakat mai SUREH FATEHA ke baad 3 baar KULLHUWALLAH padhey to Allah paak har rakat ke badle ek maqbul haz ka sawab ata farmata hai.
Jo admin har raat seheri ke baad fazar ka waqt hone se pahele pahele 2 rakat namaz ada kare jismai har rakat mai ALHAMDU SHARIF ke baad 25-25 baar KULLHUWALLA SHARIF    padhey to usse dabal sawab ata kiya jata hai.

Jo admin Ramzan shairf mai rozana din mai 4 rakat namaz is tarah ada kare ki har rakat mai SUREH FATEHA ke baad 3-3 baae KULLHUWALLAH padhey aur har juma ko das rakatein is tarah padhey ki har rakat mai SUREH FATEHA ke baad 11 baar KULLHUWALLAH SHARIF padhey to sarkar ke farman ke mutabil Allah paak usse 10 hazar shahido ka sawab ata farmayega. Goya usne 10 hazar gulam azad kiye, 700 saal ki ibadat ka sawab ata hoga.


Jo admin ramzan ki akhiri raat mai 10 rakat is tarah padhey ki har rakat mai SUREH FATEHA ke baad 10 baar  KULLHUWALLAH padhey. Allah paak uski mahine bhar ki ibadatein qabul farmayega. Aur uske amal namai mai 30 hazar saal ki ibadate darz karayega.

Saturday, July 20, 2013

Aurat Aur Islam

Islam ke aane se pehle aurat ka koi maqam nahi tha … Aurat aurat nahi samjhi jati thi …. Hindu dharam mai Aurat ka ye maqam tha ki agar uska Husband (Shohar) mar jaye to patni ko uski chita par jalkar sati hona padta tha … agar koi ayesa na karta to use manhoos samjha jata tha …. Eesai mazab ke andar aurat ki qadar jooti ke barabar bhi nahi thi … aaj eesai log jo ye naare lagate hain ki humne aurto ko aazadi di hai … main inse yahi poochna chahta hoon … ki tumne apni behno ke sir se dupatta kheench kar unhe club’s ki zeenat banaya ise tum aazadi kehte ho..

zara apne mazhab me jhank kar dekho … Islam ke aane se pehle tumhare mazhab mai aurat ka kiya maqam tha …. Eesai pop ne ye fatwa nikala tha ki Aurte insan nahi hain balki ye shaitan ki sawari hain Aurto ko Allah Paak ne mardo ki khidmat ke liye banaya hai …. Udhar yahoodi yeh kaha karte the ki Aurat naapaki hai usse zinda rehne ka bhi haq nahi tha … Aurto ko bahut sataya jata tha … Nikah karne ka matlab hota tha ki us Aurat ko khareed liya gaya hai … ek sath 100 nikah kar sakte the … Aurat ka baap ke marne ke baad uski wirasat me koi haq nahi tha … Aurte bahut pareshan ho chuki thi ..Allah ne mohsine insaniyat Janab Mohd Rasoolullah (Sallallah ho alaye wa sallam) ko bheja … Aapne aakar jo maqam aurto ko diya hai …. wo kisi ne nahi diya … ye maqam dekh kar dusri qaume bhi ayesa ayesa karne lagi …. Aurat agar pataal mai thi to Islam ne use Aasman me pahuncha diya …. Aurat agar Kaanto ke bistar pe thi to Islam ne use phoolo ki sej par bitha diya ….Islam ne Aurat ke 4 roop nikale … un charo roopo mai Aurat bahut khoobsurat lagti hai …. sabse pehla roop hai MAA ka … jiski mamta ke samne sari kaynaat fail hai … 2sra roop hai Bahen ka …. jo hamesha apne bhai ke liye qurbani dene ke liye tayyar rehti hai ….. 3sra roop hai Beti ka wo hamesha Maa Baap ki dil o jaan se khidmat karti hai …. 4th roop hai Biwi ka …. jo hamesha apne shohar ki izzat aur maal ki hifazat karti hai … ye charo roop use Islam ne diye … aaj sari duniya ke andar padhey likhe log in charo roopu ko hi mante hain.

Ramzan Ki Barkate

Is Mubarak mahine ki ahemiyat ka andaza ham ussi waqt laga sakege jab pichle 11 mahine ki apni zindagi ki raat-din par nazar dale. Ayesa karne par hi hame andaza ho sakega ki hmare din kaise bĂȘte, hame kya – kya gunah kiye. Gunaho ka khayal ate hi emaan ka takaza, hamara zameer andar se awaz dega ki aye gafir insaan! Apni nadani se tune pichle mahino mai jo gunah kiya hain, unki mafi wa bakhshish ki fikar kar. Isse sath hi jab Allah ki taraf se ramzan aur unki barkate rab ka ayehesan ban kar hame damane murad bharne ke liye awaz de to zara sochiye ki hamari ruhani masarrat ka kya haal hoga.

Ramzan ki fazilat ka nadaza lagane ki liye agar aap Quran wa sunnat ki rawshni mai kuch malom karne ki koishish kare to pata chalega ki yahi wah Mubarak mahina hai jismai Allah paak ne apne bando ki hidayat wa rahenumayi ki liye Quran paak nazil faramaya. Is Mubarak mahine mai Allah paak apni rahemat wa zannat ke darwaze khol deta hai, janannam ke darwaze band kar diye jate hain.

Yah Mubarak mahina roze ke liye khash hai. Har balik mard-awrat par ramzan ke pure mahine ka roza farz hai. Roze ke bare mai Allah ne farmaya – roze mere liye hain aur iska badla bhi mai hi ata karoga. Roze farz farmane ka maksad bayan farmate huwe Allah paak ne Quran majid mai farmaya – Emaan walo! Agle walo ke tarah tum par bhi roze farz kiye gaye hai taki uski barkato se tum muttki, parhezgaar ban jao. Is ka matlab yah huwa ki roze rakhne ka yah matlab nahi ki adimi khana-pina chhod de balki iske sath-sath ayese nek kaam bhi kare jiski badawlat wa barkat se wah parhezgaar ban jaye. Allah ki nafarmani se bachey, nek kaam karta rahe aur Allah se bhalayi ki aas rakhkhe.

Ramzan ki rato mai jag kar ibadad ka maza wa zaza hi kuch aur hai. Issi fazilat ko hashil kare ke liye is mahine ki rato mai talabih ki namaz ka ayehtmam kiya gaya aur hazrat-Umar-Farque-radi-Allaho-Anho ke jane se bakayeda Ja-mat se tarabih ada ki jane lagi. Is se yah Fayez aam huwa ki har khash-aam, padhe-likhkha aur andpad Ja-maat mai sharik ho kar tarabih ki barkate hashil karne ke layak ho gaya.

Takwa ki tawlat shirf khana-pina chhod dene se hi hasil nahi hoti balki badan ka ang-ang rozedaar hona chahiye. Akh, Kaan, Naak, hath, Pair, Dil sab ka roza ho. Unhe gunaho ke kaamo mai fasne se bachana hi asli roze ka maksad hai. Ayese pabandi karne par hi Adimi muttaki, parhezgaar ban sakega. Allah ayesi hi tawfik de. Ameen!!

Thursday, July 18, 2013

Duniya, Jahannam Aur Insaan

Kya tum duniya ki aag ko apne hath se chho sakte ho….kya tum duniya ki aag ko apne..hath se utha sakte ho…..kya tum duniya ki aag ko anpe gale mai dal sakte ho…Nahi na…to fir jara socho tum…Jahannam ki aag ko tum….kaise bardasht kar sakoge..jo diniya ki aag se 70 guna jayeda tez hai…..to fir jara jahannam ke bare mai bhi socho….aur sare haram kaam karna band karo…jo tum duniya mai kar rahe ho…..ye sare haram kaam tumhe…us aag ke kareeb le jayege…

Aaj insaan haram kaam karne se baaz nahi ata….wo sochta hai ki kya howa ek chhota sa haram kaam kar liya to ismai koi galat baat nahi….par gunah chhota ho ya bada…gunah to gunah hi hai na…aur uska azab bhi milega hi… aaj muslman duniya mai sab bure kaam karta hai chahe fir wo kaisa bhi ho wo rishwat leta hai …wo sharab pita hai….wo zina khori karta hai…ayesa koi bhi ayeb nahi jo wo na kare….main sabhi muslman ki baat nahi kar raha par kuch ayese bhi hai jo sab jante huwe bhi ye sab haram kaam karte hai…
Main unse kahena chahata ho tum ek baar us jahannam ke bare mai bhi jara socho jiska bayan har jagaha aya hai…aaj ka muslman ayesa kaha sochta hai….wo to apni duniyavi zindagi mai shohorat aur kamiyabi chahata hai fir wo kaise bhi aye ani chahiye….chahe haram kaam kar ke hi kyon na ho…

Meri baat zaro gaor se socho…..agar tum sharabi ho aur tum sharab ke nase mai ho aur tumhara usse halat mai intiqal ho jata hai to….fir jara socho to sahi ….ki tumhare sath fir kya hoga….tum us jahannam ki haqdaar ban jaoge….jiski aag 70 guna jayeda tez hai…..kya tum us aag ko bardasht kar paaoge.
Maine ayese bhi musalman dekhe jo zina khori karta hai …apni hi city mai kai logo ko janta ho jo ayesa karta hai….par jab unse kuch kaho to wo has ke baat tal dete hai…wo sochte hai baad mai tawba kar lege aur….fir sab thik ho jaeyga….ayesa nahi hai unke kiye ki saza to unhe bhugatni hi padegi……hadiso mai bayan kiya gaya hai ki….jo sakhas zina karega ……usse ek ayesi gaar mai dal diya jayega jiske bare mai baya kiya gaya hai …. ki wo Jahannam ka ek Gar hai jab uska Muh khola jayega to uski Badbu se tamam jahannami chikh uthenge..(Mukasheftul Kuloob Safa: 167).

To fir zara sochho tum jahannam ke bare mai jiska har azab bahut hi sakht aur …bardasht karne wala nahi hai…ye duniya hai agar aap ismai kho gaye to fir samjho …apne apni akhirat tabah kardi….jab bhi dil mai ayese khayalat aye to us Jahannam ke bare mai soch lena jiski aag 70 guna jayeda tez hai…bas apna imaan bachaye rakhkho to fir tum duniya mai bhi kamiyab ho gaye aur akhirat mai bhi….dua kare mere liye aur tamam muslimo ke liye ki Allah hamra imaan hamesha Qayam rakhe….

Inshalllah agli Jumeraat ko fir pesha karoge ek bayan …..jab tak ke liye mujhe izazat de…duao mai yaad rakhkhe..apne is chhote bhai ko….Allahhafiz..

Neki (Islam)

Quran majid mai Allah ka farman hai – purab aur pachchim ki taraf chehera kar lena hi neki nahi hai balki hakikat mai neki to yah hai ki admi imaan laye Allah par, Qayamat par, farishto par, Allah ki nazil ki hui kitabo par, uske rasul par. Aur Allah ki mohabbat mai Ristedaro, Yatimo, Mohotaz, Mosafiro, Magne walo, aur gulamo ko azad karne ke liye apne malo se madad kare. Pabandi se namaz ada karo, maal ki jakat ada kare, wada pura kare, dukh-pareshani mai sabar se kaam le. Ayesa karne wale hi haq par hai aur yahi log muttaki wa parehezgaar hai.

Is ayat mai ye bataya gaya ki imaan sabse awwal hai. Imaan lane ke baad hi neki qabul hoti hai. Imaan wa akida durusht hoga to hi kisi nek kaam ka sawab milega. Allah wa Rasul par imaan lane ke baad is baat par yakin rakhna ki Qayamt ayegi. Allah ne duniya mai itne nabi-rasul bheje, wah haq hai, un par nazil hone wali kitabe haq hai. Farishte Allah ki nuri makhluq hai. In sari bato ko haq taslim karne ke baad Allah ki raza ke liye apne gareeb ristedaao, deeni bhai-behen, yatimo wagaira ki madad karna nek kaam hai.

Ibadat kai tarah ki hoti hai. Namaz ibadat hai jo badan se ada ki jati hai jakat ibadat hai isse maal de kar ada kiya jata hai. Haj bhi ibadat hai jisse ada karne mai maal aur badan dono sharik hote hai. Is tarah Allah ki raza ke liye kiya jane wala har kaam neki mai shumar kiya jata hai.

Dawlatmanot par Allah ne jakat farz farmayi hai. Jakat ki ye rakam jarorat mando deeni bhai-behen ko di jati hai. Is tarike se bahut se jarurat mando ki jarorat puri hoti hai aur dilo mai mohabbat paida hoti hai. Agar kawm ke maaldal hazraat imandari ke sath har saal apne maal ki puri jakat ada kiya kare to chand saal mai hi samaaj ka naksha badal sakte hai.

Wada wafai behad jaruri hai. Is duniyavi zindagi mai insaan ek-dusre ke  kaam ata hai. Is bich bahut saare kaam wa mallat pesh ate hai. Wada wa ikrar bhi hota hai jiski pabandi lazmi hai. Hadis shairf mai WADA WAFAI momin ki pahechan batayi gayi hai aur wada khilafi karne wale ko munafiq kaha gaya hai. Wada wafai ki pabandi karne se samaaj mai insaan ki izzat hoti hai aur wada khilafi karne walo ko achchhi nazar se nahi dekha jata. Isliye islam mai wada wafai ko bhi neki wa sawab ka kaam kaha gaya hai.


Issi tarah dukh-musibat mai sabar wwa himmat se kaam lene ko bhi sawab ka kaam bataya gaya hai. Insaan apni zindagi mai apni duniyavi jimmedariyan nibhane ke dawran shaykdo nek kaam karta wa kar sakta hai. Shart yahi hai ki imaan wa akida salamat rahe aur har kaam Allah ki raza ke liye kiya jaye.

April Fool (Jhooth Bolna Gunahe Kabirah)

Jhoot bolne wale par Allah Paak ki laanat hoti hai. (Surah:Al Imran, Surah No:3, Aayat No. 61)

Har saal 1April ko April fool manaya jata hai, is ki ibteda ke bare me mukhtalif Kahaniya Milti hai, “ Kahani koi bhi ho Sawal ye paida hota hai”.

(1) Kya ham samajhte hai jhoot bolna acchi adat hai?

(2) Kya ham pasnd karte hai ke koi ham se jhoot bole?

(3) Kya ham me se koi pasnd karta hai ke us ka mazakh udaya jaye?

Yaqinan ham jhoot ko accha nahi samajhte na hi kisi ka mazakh udana hamare nazdeek koi pasndida harkat hai aur na hi Ham khud apne liye aisa chahte hai to Phir April Fool kaise mana sakte hai Jo Jhoot bolkar doosron ko bewaqoof banana aur un ka Mazakh udane ka din hai.

Allah Paak Irshad Farmate hai – “Aye Iman walon! Mard doosre Mardon ka Mazaq na udayen Mumkin hai ke ye un se behter ho aur na Aaorten Aaorton ka Mazaq udayen Mumkin hai ke ye un se behter ho, aur Aaps me ek doosre ko Aaib na Lagao, Aur na kisi ko Bure Laqab do, Iman ke baad Fusq bura Naam hai, Aur jo toba na karen wahi Zalim log hai. (Surah: Al-Hujrat, Surah No:49, Aayat No:11)

(1) Na mazakh banayye aur na mazakh ka nishana baniye.

(2) Na jhoot boliye aur na kisi ke jhoot me shamil hoye.

(3) Apne akhlaq-o-aamal ki khoobsurti ko duniya ke samne laye ta ke wo jaan saken ke aap kitne shandar deen ke numayenda hain.

(1) Rasulullah Sallallaho Alaye Wa Sallam Ne Farmaya – “Jis ne kisi qoum ki mushabihat ikhtiyar ki wo unhi me se hai. (Bukhari Sharif).
Kisi ko Fool banana ek Qabeeh (Buri) harkat hoti hai, Jhoot bole bagair kisi ko bewaqoof nahi banaya ja sakta aur ek Musalman ko Jhoot nahi zeba deta.

(2) Rasulullah Sallallaho Alaye Wa Sallam Ne Farmaya - “Halakat hai us shaksh ke liye jo logon ko hansane ke liye jhoot bole, us ke liye halakat hai, us ke liye halakat hai. (Abudawood, Tirmizi).

(1) Yaad rahe! Musalman wo hai jo apne bhai ke liye wahi pasand karta hai jo apne liye pasnd karta hai, jab ham apne liye jhoot aur mazakh pasand nahi karte to phir kisi doosre ke liye kaise kar sakte hai?. Aur Jhoot bolna gunahe kabirah hai.Aur Jhoot bolna gunahe kabirah hai.

Aur Jhoot bolna gunahe kabirah hai… Allah Paak ham sab ki hifazat farmaye.. Ameen!!!

Hazrat Ali – Radi Allahu Anhu

[1] Agar kisi ka ban’na chahtay ho to pori hakiqat se ban jao… warna,apni zaat mai ayesi hakiqat peda kar lo ke koi hakiqat mai tumhara ban jaye.
....................................................................................................................................
[2] Kamzor hai wo Shakhs jo DOST na bana sake,, Aur us se bhi kamzor wo Shakhs Hai jo bana huwa DOST kho de.
....................................................................................................................................
[3] Waqt aur dawlad 2 ayesi cheze hai jo insaan ke ikhtiyar mai nahi, Waqt insaan ko mazbur aur dawlad insaan ko magrur bana deti hai.
....................................................................................................................................
[4] Yaad rakhna gusse ki halat mai koi faisla na karna,,aur khushi ki halat mai koi wada na karna.
....................................................................................................................................
[5] Log pyar ke liye hote hai aur chize istemal ke liye, baat tab bigadti hai jab cheze se pyar kiya jaye aur logo ko istemal kiya jaye.
....................................................................................................................................
[6] Do logo se kabhi dosti na karo…..ek apne dost ke dushman se aur dosra apne dushman ke dost se.’
....................................................................................................................................
[7] Achchhey dost ristedaar kitni dafa hi kyon na ruth jaye..unhe mana lena chahiye kyon ki tasbih ke dane kitni dafa hi kyon na bikhar jaye..chun liye jate hain.
....................................................................................................................................
[8] Jo duniya ki khidmat karta hai duniya usay apna khadim bana leti hai aur jo Allah ki khidmat karta hai, duniya uski khadim ho jati hai.
....................................................................................................................................
[9] Logo se yaad na karne ka shikwa mat karo..kyon ki jo inshan apne rab ko bhul sakta hai wo sab ko bhool sakta hai.