Sunday, July 28, 2013

Pakiza Nek Banate Hain Roze

Roza insaan ko nek wa pakiza banata hai. Roze ki barakat se insaan ki bahut si akhlaki burayiya bhi dur ho jati hai. Ramzan apne sath nekiyon ki bahar le kar ata hai. Pura mauhol islamic kirdar wa khushbu se mahek ne lagta hai. Roze ki halat mai insaan aur rab ka itna farmabardar ho jata hai ki kuch karne se pahele sochta hai ki yaha kaam roze ki halat mai karna chahiye ki nahi. Uska yahi haal wa khayal usse ramzan ke baad bhi bahut si burayion se bacha deta hai. Roze ki pabandiyon ka asar rozdar ki zindagi par zarur padta hai. Roze ki barakat se momin ki ruh mai nikhar aa jata hai. Usse nekiyon ki tawfik milati hai. Gunah se dur rahane ka ayehesas usse hamesha yaad dilata raheta hai ki agar roze rakh kar bhi gunah ke kamo mai fase rahe to din bhar bhuke-piyase rahene se koi fayeda nahi milega. Aur roze ka maksad aur falsafa bhi yahi hai.

Har saal puri duniya ke musalman ramzan ke pure mahine ka roza rakhte hai, raat mai khash namza TARABIH mai Quran sunte hai, khwm ke garibo ki madad karte hai. Har adimi apni-apni haisiyat ke mutabik sadka-khayrat karke samaz mai islami bhaichargi ke zashbe ko bedaar karta hai. In saari tabdiliyon ki wazah se ramzan ko BAHARO KA MAUSAM bhi kaha jata hai jis mai momin ki islami zindagi mai nekiyon ki bahar aa jati hai.

Ramzan ka roza farz hai. Bina sarayi mazburi ke chhodne ki izazat nahi. Agar kabhi kisi mazburi se koi roza chhot jaye to uski Qaza zaruri hai. Qaza rakh lene se farz ada ho jayega lekin ramzan ki barkatein hasil nahi hogi. Agar koi adimi jaan bujh kar bina kisi mazburi ek roza chhod de aur uske Kaffare mai ek saal (One years)tak roza rakhkhey to bhi wah sawab nahi pa sakega jo ramzan mai ek roze rakhne par milta hai.


Roze ki halat mai, ramzan ke mahine mai din-raat mai ki jane wali ibadato ka sawab bhi badha diya jata hai. Har neki ka sawab 10 se 70 guna jayeda ataa kiya jata hai. Aur agar banda rab ki raza ke liye koi nek amal kare to usse 700 guna, bhi ataa farmata hai. Uske karam ki thah nahi. Isliye har tarah ke achchhey-bure log is mubarak mahine mai neki ke kaamo mai dilchashpi lene lagte hai aur gunaho ki mahefeelo mai shariq hone se bachte hai. Yaha ramzan ki hi barkatein hai jiska asar bachchey, budhey, jawan aur mard-awrat sab par padta hai. Allah paak apne habib ke sadke mai hame ramzan ki Qadar karte huwe uska haq adaa karne ki tawfiq de..Ameeen!

No comments:

Post a Comment