Monday, July 22, 2013

Haj Ke 5 Din

8 Jil Hizza – fazr ki namaz haram sharif mai padkar haj ka ayehraam bandh le aur aaj hi tawaf wa sai kar le. Ayehraam bandhne ke baad yo niyat kare –
ALLAHHUMMA-INNI-URIDU-HAJJA-FAYSSIRHO-LI-WA-TAKABBL-HO-MINNI-WA-AHRAMTO-BIHI-LILLAHE-TALA.

Niyat  karne ke baad talbiya (labbayek) padhle. 8 tarikh ko johar  tak mina mai pahuchna hai. Ab chuki bhid bahut hone lagi isliye moallim 7 tarikh ko isha ke baad hi hajiyon ko bas mai sawar kar mina bhejne lage hai. 8 tarikh ko Johar, Ashar, Magrib aur Isha ki namaz mina mai hi padhni hai. Jayeda se jayeda waqt zikr wa ibadat mai guzare.

9 Jil Hizza – fazar ki namaz ke baad mina se arafa ke liye rawana hona hai. Johar aur Ashar ki namaz arafa ke maidan mai padhni hai. Masjid-e-namura mai Johar wa Ashar ki namaz ek ke baad ek ada ki jati hai lekin kheme mai namaz padhne wale johar ke waqt mai johar ki namaz aur ashar ke waqt mai ashar ki namaz ada karege. Aaj haj ka khash din hai. Khub-khub ro-rokar apne aur sab ke liye duaye mage aur ashar ki namaz ke baad –
CHAWTH KALMA – 100 BAAR, DUSRA KULHUWALLAH – 1000 BAAR , DARUDH SHAIRF – 100 BAAR, AYETEKARIMA – 100 BAAR, ASTAGFARULLAH – 100 BAAR, AUR ALLAHHUMMA-INNAKA-AFUYUN-TUHIBBUL-AFW-FA-AAFO-ANNI padhey.
Suraj dubne ke baad muzdlefa jana hai aur magrib ki namaz wahi padhni hai. Muzdlefa pahuch kar magrib aur isha ki namaz ke baad kuch deer aram kar le. Raat ibadat mai guzare aur yahi se shayetan ko marne ke liye kam se kam 49 kankriya chun le. Kankriya jayeda badi na ho. 10 tarikh ko subha fazar ki namaz padh kar mina ke liye chalna hai.

10 Jil Hizza – Mina pahuch kar sabse pahele 7 kankriya lekar bade shayetan ko kunkari marne jana hai. BISMILLAH-E-ALLAHO-AKBAR padhte huwe ek-ek kunkari pillar mai na pade to uske kinare bane ghere mai zaror gire. Agar koi kunkari uske andar nahi giri to uske badle dusri kunkari marni hogi.
Shayetan ko kunkari marne ke baad kurbani karni hai. Agar kurbani ki rakam bank mai jama karwai hai to waha se mile time  ka dhayen rakhkhey. Usse pahele – pehele kunkari marni hai aur uske baad hi baal katwa kar ayehraam Khulna hai. Ayehraam khul kar naha-dhokar ghar jayese kapde pahen kar tawafe ziyarat ke liye jana hai. 10 tarikh ko yaha tawaf karna afzal hai. Tawaf-e-ziyarat se wapas aakar raat mina mai guzarni hai.

11 Jil Hizza – agar 10 tarikh ko tawaf-e-ziyarat na kar sakte to, 11 tarikh ko kare aur waha se wapas aakar tino shayetan ko zawal ke baad kunkari marte huwe apne kheme mai aajaye aur waqt ibadat mai guzare. 11 tarikh ko raat mina mai hi guzarni hai.

12 Jil Hizza – 12 tarikh ko bhi tino shayetano ko jawal ke baad kunkuri marni hai. Agar  10,11 tarikh ko Tawaf-e-ziyarat na kar sake ho to, 12 ko bhi suraj dubne se pahele-pahele kar sakte hai. Yaad rahe. Tawaf-e-ziyarat farz hai.
Teno shayetano ko kunkuri marne ke baad din dubne se pahele – pahele mina se makka wapas aa jana hai. Agar din dub jaye to fir raat mina mai hi guzarni hogi.
5 dino ki is bhag-dhwd mai hamesha yaha khayal rakhkhey ki ham ibadat ke arakan ada kar rahe hai isliye kisi bhi kaam mai laparwahi na barte balki har kaam sahi tarike se ada kare aur Allah ka sukar ada karte huwe apne haj ke makbul hone ki dua mage.

No comments:

Post a Comment