Wednesday, August 7, 2013

Juma Kayim Karne Ki Shart “Ezn-e-Aam”

MASLA:-
[1] Ezn-e-aam yani aam izazat yani jo bhi muslman chahe wah juma padhne aashake aur koi ruk-tuk na ho. Agar masjid mai juma padhne ke liye log zama ho jaye aur masjid ka darwaza band kar diya aur darwaza band kar ke namaz padhi, to juma ki namaz na hui. (Alamgeeri )
[2] Badshah ne apne makan mai juma kayim kiya , aur makan ka darwaza kho diya ke logo ko ane ki izazat hai, to juma ho gaya, fir chahe log aye ya na aye. Aur agar darwaza band kar ke juam padhya ya darwaza to khula rakhkha lekin darwaze par darban (chawkidaar) ko bitha diya ki logo ko apne na de, to juma na huwa. (Alamgeeri, Bahar-e-shariat, hissa no.4 safa no. 88)
[3] Jis jail (karawas) mai musalman kaidi aur mulazemin (karamchari) ho aur us jail mai musalman  kaidiyon ro roza rakhne ki aur jamat se namaz padhne ki bhi izazat ho, fir bhi waha juma ki namaz kayim nahi ho sakti kyonki juma kayim karne ki shart maise ek shart ‘ezn-e-aam’ hai aur jail mai bahar ka adimi namaz padhne nahi ja sakta, lihaza jail mai juma kayim nahi ho sakta. Balki juma ke din kaidiyon ko jail mai johar ki namaz bhi jamat se padhna zayaz nahi, har shakhsh tanha johar ki namaz padhy aur agar jail saher ke had se bahar ho, to kaidi johar ki namaz jamaat se padh shakte hai. (Tanvirul Abbas, Fatwa, razviya, jild – 3 safa – 624)
[4] Awrato ko masjid mai apne se rokne mai izn-e-aam ki shart ke khilaf na hoga balki awrat ko masjid mai apne se  roka jaye kyonki awrato ke masjid mai ane se fitna ka khawf hai. (Bahar-e-shariat, hissa – 4 safa 88)
[5] Murtad, munafik, gumraha aur bad-akida firke ke log, jo baargah-e-risalat sallallaho-ta-ala-alaye-wa-sallam mai gustakhiya aur bad-adbiyan karte hai aur bhule-bhale musalmano ko apne dam-e-fareb ( Jaal ) mai fasa kar unke imaan tabah karte hai, ayese munafiko ko bhi masjid mai apne se rokne mai ezn-e-aam ki shart ki khilaf na hona, balki unko ‘dar-e-zarr’ ke liye rokna jarori hai.
HADITH:-
Shahi muslim sharif mai hazrat abu-huraira-raziyallaho-ta-ala-anho – se riwayat hai ki huzur –akdas sallallaho-ta-ala-alaye-wa-sallam irshad farmate hai ki “EYYAKUM-WA-EYYAHUM-LA-YUDILLUNKUM-WALA-YUFTENUNKUM” (tum unse alag raho, unhe apne se duur rakho, kahi wo tumhe bahka na de, kahi wo tumhe fitna mai na dalde).
Hazrat ibn-e-habban ne hazrat abu-huraira ki riwayat mai izafa kiya ki “LA-TUSALLU-ALAYEHIM-WALA-TUSALLU-MA’HUM” yani  “unke zanaze ki namaz na padho, unke sath namaz na padho”.
MASLA:-
[1] “Dur-e-mukhtar mai hai ki “YUMAN-O MINHO-KULLU-MUJIN-WA-LAW-BE-LISANEHI” matlab- masjid se har muzi (dukh pahuchane wala) ko roka jaye agarche wo apni zaban se hi eza (kasht) pahuchata ho”
[2] “Har muzi ko masjid se nikalna ba:shart istata-at wajib hai, agarchhe wo “muzi” shirf jaban se eza deta ho. Khususan (vishesta)wo jis ki eza musalmano mai band mazhabi failana, gumraha karna aur logo ko sachche deen se bahkana hai.”
[3] “Jo shakhsh masjid mai aakar apni zaban se logo ko “eza” (kasht) deta ho, usko masjid se nikalne ka hukum hai kyonki jis shakhsh ki wajah se nahaq fitna (jhagda) uthta ho, usse masjid mai ane se rokna jarori hai”.
[3] “Dawr-e-hazera (wataman yug) ke munafekin aur murtadeen mai wahabi, devbandi, nazadi aur gayer mukallid, kadyani wagayerah batil firko ka sumaar hota hai. Jis ki mufassal tafsil (jankari) ayetihasiq kitab “HUSSAMUL-HARMAYEN-ALA-MANHRIN-KUFFAR-E-WAL-MAYN” (saal, 113 hizri, praksh warsh) mai mazkur hai”.
Note:-
Iss baab (prakarad) mai hadith sharif ke baad jo 5-masayil pesh kiye gaye hai, un 5- masayil ka hawal (sandarbh) hasb-e-zail (nimlikhit) hai.

“AAL-ATAYAN-NABVIYYA-FIL-FATWA-RIZVIYA” JILD NO. – 6 SAFA NO. 103, 106, 108, 433, 447

DAROD SHARIF KI BESHOMAR FAZILATE

[1] Darood gunaho ka kafara hai
[2] Darood se amal pak hota hai
[3] Darood padhne se darajat buland hote hai
[4] Darood padhne ke liye ek qirat ajar likha jata jo ke uhud pahad jitna hota hai
[5] Darood padhne wale ko pemane bhar bhar ke sawab milta hai
[6]Jo shakash darood ko hi apna wazeefa bana leta hai Allah pak us ke duniya aur aakhirat ke kaam apne zime le leta hai
[7] Darood padhne ka sawab ghulam azad karne se bhi afzal hai

[8] Darood padhne wala har kisam ke haulo se nijat pata hai
[9] Waliye do jahan nabi (s.a.w) darood padhne wale ke imaan ki khud gawahi denge
[10] Darood padhne wale par Aqa do jahan ki shifa’at wajib hojati hai
[11] Darood padhne wale ke liye Allah Ta’ala ki raza aur rehmat likh di jaati hai
[12] Allah Ta’ala ke ghazab se aman likh diya jata hai
[13] Us ki peshani pe likh diya jata hai ke yeh nifaq se bari hai
[14] Likh diya jata hai ke yeh dozakh se bari hai
[15] Darood padhne wale ko roz-e-hashar Arsh-e-Ilahi Ke neeche jagah di jayegi
[16] Darood padhne wale ki nekiyoun ka pallada wazani hoga
[17] Darood padhne wale ke liye jab woh Hoz-e-Kausar par jayega tab khasosi inayat hogi
[18] Darood padhne wala qayamat ke din sakhat pyaas se aman mai hoga
[19] Woh pul siraat se tezi aur asani se guzar jayega
[20] Pul sirat par use noor ata hoga
[21] Darood padhne wala maut se pehle apna muqam jannat mai dekh leta hai
[22] Darood ki barkat se maal badhta hai
[23] Darood padhna ibadat hai
[24] Darood padhna Allah Ta’ala ko humare sab amalo se zayada pyara hai
[25] Darood pak majliso ki zeenat hai
[26] Darood pak tangdasti ko dur karta hai
[27] Jo darood padhe ga woh roz-e-hashar Madani aqa ke sab se zayada qareeb hoga
[28] Darood agar padh kar kisi marhoom ko bakhsha jaye to use bhi nafa deta hai
[29] Darood padhne se Allah Ta’ala aur uske habib ka qurb naseeb hota hai
[30] Darood padhne se dushmano par fatah aur nusrat hasil hoti hai
[31] Darood padhne wale ka dil zang se pak hojata hai
[32] Darood pak padhne wale shakash se log mohabbat karte hai
[33] Darood padhne wala logo ki ghibat se mehfooz rehta hai

[34] Sab se badi naimat darood padhne ki yeh hai ke use khawab mai pyaare pyaare aqa ki ziyarat hoti hai
JUZB AL-QALUB MAI DARJA-E-ZIL FAZAIL BAYAN HAI
[35] Ek bar darood padhne se 10 gunah maaf hote hai 10 nekiyan milti hai 10 darje buland hote hai 10 rehmate naazil hoti hai
[36] Darood padhne wale ki dua hamesha qabul hoti hai
[37] Darood padhne wale ka kandha(shoulder) jannat ke darwaze par nabi (s.a.w) ke kandhe mubarak ke saath chu (touch) jayega SUBHAN ALLAH
[38] Darood padhne wala qayamat ke din sab se pehle aqa ke pas pohanch jayega
[39] Darood padhne wale ke sare kamoun ke liye qayamat ke din inayat hogi
[40] Darood padhna duniya aur aakhirat ke har dar 0 gham ka wahid elaz hai
[41] Darood ruhaniyat ke khazane ki chabbi hai
[42] Darood pak aashiqo ki meeraj hai
[43] Darood pak padhna munafa he munafa hai aur yeh munafa darood padhne wale ko jannat tak pohancha deta hai
[44] Darood pak Allah Ta’ala ki narazgi se bachne ka asan amal hai
[45] Darood ek aisi ibadat hai jis ka faida usi ki taraf laut ta hai jo isko padhta hai
[46] Darood pak padhna aisa hai ke jesa apni zaat ke liye dua karna hai
[47] Darood pak padhne wala ruhaani taur par tarbiyat-e-Muhammad (s.a.w) mai hota hai
[48] Darood ki kasrat karna ahl-e-sunnat ki allamat hai
[49] Darood padhne wala har majlis mai zaib 0 zeenat hasil karta hai
[50] Darood pak padhne wale ko baroz-e-hashar maidan-e-hashar mai jannat ki rahein khuli milengi Inshallah
[51] Darood pak padhne wale ke badan se khusbu aaya karegi
[52] Darood padhne wale ko hamesha neki karne ki khawahish raha karegi
[53] Darood padhne wale ka naam bargahe risalat mai liya jayega
[54] Darood padhne wala marne tak imaan par qaim rahega
[55] Darood padhne wale ke liye zameen 0 aasman walo ki duaein waqaf rahengi
[56] Darood pak padhne wale ko zaat mai aamal mai umar mai aulaad mai aur maal 0 asbab mai barkat hogi jiske 4 pushto tak aasar zahir honge
[57] Darood padne wale ka ghar roshan rahega
[58] Darood padhne wale ka chehra purnur aur guftar mai halawat hogi
[59] Darood pak padhnewale ki majlis mai bethne wale ki majlis mai log khush honge
[60] Darood pak padhne wale ki daawat ka sawab 10 gune hoga
[61] Darood padhne wala farishto ka imam banega
[62] Darood padhne wala Huzur ki qaul 0 fail ki itaba karega
[63] Darood pak padhne wale ki kashti toofano se Inshallah par hogi
[64] Darood padhne wala hamesha naik hidayat hasil karega
[65] Darood pak padhne wala thode hi arse mai ghani hojata hai
[66] Darood padhne wala duniya mai maroof hojata hai
[67] Darood padhne wale shakash ki zuban se maidan-e-hashar mai noor ki kiranein nikalen gi
[68] Darood pak se aankho ko noor milta hai
[69] Darood se sehat barqarar rehti hai
[70] Darood se aqa ki mohabbat ka jazba aur badhta hai
[71] Darood padhne wale ko kisi ki mohtaji na hogi
[72] Jaan asani se niklegi
[73] Qabar mai wusa’at hogi
[74] Niza ka waqat asan hoga
[75] Tamam kam asan ho jayenge

MAJLIS MAKTAB AL-MADINA KE RASALE ZAYA DAROOD 0 SALAM RISALA # 13 MAI DARJA-E-ZIL FAWAID BAYAN HAI
[76] Musalman jab tak mujh par darood padhta hai farishte us par rehmat bhejte rehte hai ab yeh insaan ki marzi hai ke kam le ya zayada
[77] Namaz ke baad hamd 0 sana 0 darood padhne wale se kaha jata hai “DUA MANG QABOOL KI JAYEGI SAWAL KAR DIYA JAYEGA”
[78] Jibrail (A.S) ne mujh se arz kiya ke Rab Ta’ala farmata hai aye Muhammad (s.a.w) kya tum is baat pe raazi nahi ke tumhara ummati tum par ke salam bheje mai us par 10 salam bhejoun
[79] Jis ne mujh par 10 martaba darood padha Allah us par 100 rehmatein nazil karta hai
[80] Jis ne mujh par 100 martaba darood bheja Allah Ta’ala uski dono aankho ke darmayan yeh likh deta hai ke yeh nifaq aur jahanum ki aag se azad hai aur use baroz-e-qayamat shuhada ke saath rakhega
[81] Jo mujh par ek din mai 1000 martaba darood padhega woh us waqat tak nahi marega jab tak ke woh apna muqam jannat mai na dekh le
[82] Jis ne din aur raat mai shoq 0 mohabbat ki waja se mujh par 3 /3 martaba darood padha to HaqTa’ala us ke us din aur raat ke gunah bakash deta hai
[83] Beshak tumhare naam bama shinakhat mujh par pesh kiye jaate hai lihaza mujh par ehsan yaani khoobsoorat alfaz mai darood padho
[84] Beshak hazrat jibreel (A.S) ne mujhe basharat di ke “jo Aap (S.a.w) par darood padhta hai Allah Ta’ala us par rehmat bhejta hai aur jo Aap (s.a.w) par salam padhta hai Allah us par Salamti bhejta hai
[85] Mujh par darood ki kasrat karo beshak yeh tumhare liye taharat hai
[86] Allah pak ki khatir aapas mai mohabbat rakhne wale jab baham mile aur musahfa kare aur nabi par darood bheje to un ke juda hone se pehle un ke agle pichle gunah baksh
diye jaate hai

[87] Jis ne kitab mai mujh par darood likha to jab tak mera naam us mai rahega farishte us ke liye astagfar karte rahenge
[88] Aye logo beshak qayamat ke din uski dehshaton aur hisab kitab se jald nijat hogi jis ne duniya mai kasrat se darood padha
[89] Jis ko yeh pasand ho ke Allah Ta’ala ki bargah mai pesh hote waqat Allah us se Raazi ho to use chaiye ke woh darood ki kasrat kare
[90] FARZ hajj karo beshak us ka ajar 20 ghazwat mai shirkat karne se zayada hai aur Mujh par 1 martaba durood padhna us ke barabar hai
[91] Jo mujh par din mai 100 martaba darood padhega Allah Ta’ala us ki 100 hajat puri farmayega
[92] Beshak mujh par darood padho mai tamam jahano ke rab ka rasool houn
[93] Darood shareef padhna tumhare liye qayamat mai noor hoga
[94] CHAMAKTI RAAT [SHAB-E- JUMA] AUR ROSHAN DIN [JUME KA DIN] {YANI JUMERAAT KA AFTAB GHAROOB HONE SE JUME KA SOORAJ DOOBNE TAK } MUJH PAR DAROOD KI KASRAT KARO JO AISA KAREGA QAYAMAT KE DIN MAI US KA SHA’AFI AUR GAWAH BANOUGA Inshallah
[96] Jo jumah ke din mujh par 80 bar darood bhejega uske 80 saal ke gunah maaf honge Inshallah
[97] Jo shaksh Jumah ke din Mujh par 100 martaba darood padhega to qayamat ke din jab woh aayega to us ke saath ek aisa noor hoga ke agar woh saari makhloq ko taqseem kar diya jaye to woh sab ko kifayat kare
[98] Jis ne Juma ke din mujh par 200 martaba darood padha Allah Ta’ala us ke 200 saal ke gunah maaf farmayega Inshallah
[99] Jumeraat aur shab-e-jumah ko jo mujh par 100 martaba darood padhega to Allah Ta’ala uski 100 hajatein poori karega jis mai Se 70 Akhirat ki Aur 30 duniya ki Inshallah

[100] FARMANE-ABDULLAH-IBN-UMAR-0 BIN-AAS (R.A) HAI “jo nabi pak par ke baar darood padhe to Allah Ta’ala aur malaika us par 70 martaba rehmat bheje”

KAMAAO JAROR GAWAO MAT

Kuch log ayese hote hai jo kamne, mehnat mazduri karne se ji churate hai lekin kharch karne mai bade hi tez hote hai. Ayese log apni nahi balki parayi kamayi par Ayesha karna pasand karte hai. Aur kuch log ayese bhi hote hai jo badi mehenat-mashkkat aur lagan se kamate hai lekin apni kamayi ko sabhal kar nahi rakhte balki badi bedardi se khun-pasine ki kamayi ko pani ki tarah baha dete hai. Jabki samjhdari ka takaza to yaha hai ki lagan aur mehenat s halal tarike se kamaye, jayez aur jarori kamo mai kharch kare aur kal ke liye bhi kuch bach kar arkhe taki jarurat padne par kisi ke samne hath failane ki sharmnaak nawbat na aye. Islam ne musalmano ko dene ki talim di hai aru bila jarorat mangne, sawal karne se shakhti se mana kiya hai.

Bilkul yahi haal hai dini mamlat ka bhi. Ham apna farz ada karne ki har mumkin koshish kare taki akhirat ki pakad se bach sake aur is ke sath yah bhi jarori hai ki ham apne amal mai khulus payeda kare. Ibadat, riyazat, haj wa jakat, sadka-khayrat wagaira jayese kaam allah ki raza aur sawab ki niyat se kare, naam-namud ya dikhawe ke liye nahi. Riyakari se , dikhawa karne se banda sawab se maharum ho jata hai. Shayatan to hamesha issi taak mai rahta hai ki agar koi adimi uski chalo se bach-bacha kar koi ne kaam karne mai kamyab ho bhi jayeto uske sawab se mahrum kar diya jaye. Iske liye wah adimi ke dil mai tarah-tarah ke khayalat payeda karta hai taki kisi na kisi bahane adimi apni nekiya jahir karke uska sawab tabah kar dale.


Aaj yah marz aam hota jar aha hai. Log karte kaam hai aur dikhawa jayeda karrte hai kyonki unhe apne samaz mai ek ala makam hashil karna hai, allah wa rasul ki raza ke khahishmand nahi. Ayesa karne se jhhuti shohorat ke  alawa aur kuch hashil nahi hota. Jis tarah samjhdari to yah hai ki kamaye aur bachaye to ussi tarah yah bhi samjhdari hi hai ki jo kuch nek alam kare uske sawab ko bachane ki koshish kare, dikhawa karke mehenat par pani na fere. Haz aap par farz hai. Ada karne jarori hai. Isse ebadad ki niyat se ada kare. Baat-chhit ke dawran koi ayesi baat jaban se na nikale jisse samne wala yah samjhe ki aap apne haji hone ka ayeshash dila rahe hai. Kisi saman ke bare mai yah kahna ki isse mai haj ke safar ke dawran kharida thha. Iss se bhikhulul aur ikhlas ko nukshan pahuchta hai.

Jaka-at aap par farz hai. Dena chahiye, lekin dene ki tawfik kam hi logo ko nasib hoti hai. Jayeda log to darwazo par mangne walo ko bhid jama karke apne apko daan-data jahir karna jayeda pasnad karte hai. Hame to islam ne yah talim di ki sadka-khayrat iss andaz see do ki baye hath ko bhi khabar na lage. Khulus ka yahi takaza hai, lekin shayatan ayes karne nahi deta balki inshan kea mal ko akarat karne ke liye tarah-tarah ki khurafati khayalat dil mai dalta hai. Allah ne aap ko mal-o-dawlat se nawaz hai to aap par farz  hai ki uske is ayeshan ka shukriya ada karne ke liye jaka-at ada kare. Ab yah apki jimmedari hai ki aap haqdaro tak unka haq pahuchaye. Lekin ayesa kaha ho pata hai. Ayesa to nahi hai ki aap ko apni kawm ke jaroratmand, rishtedaro, padoshiyon wagaira ke halat ka andaza na ho? To fir unki jarorat pori karne se apnko dilchaspi kyon nahi ? unhe kisi ke samne dast-e-sawal fayelane se bacha kar aap unki islami gayerat ki hifazat karne ki kyon nahi sochte.


Ham apne imaan wa islam mai mukhlish hone ki jarorat hai. Iss buniyad par hame akhirat mai nekiyon ka sawab wa fal milega. Isliye kamane aur bachane ke usul par amal kijiye aur apni nekiyon ko shaytani hamlo se bachane ke liye riyakari, dikhawe, shoharat se parhez kijiye iss mai nizat w bhalayi hai.

MOHABBAT-E-RASOOL

Quran sharif mai jagah-jagah farmaya gaya – Allah aur unke rasool ki farmabardari karo, kaha mano. Rasul se mohabbat iman ki jaan hai kyonki jab tak hame pyare rasool se mohabbat nahi hogi, ham aap ke farman par amal karne ki pahel nahi karege. Ashiq hi apne mehbub ke har farman par amal karta hai, uski naaz bardari karta hai. Isliye hamare liye lazmi hai ki ham apne pyare rasool sallallaho-alaye-wa-sallam se mahobbat kare taki duniya aur akhirat ki bhalayiya nasib ho.

Sureh-Tawba mai Allah ne farmaya- aye rasool! Tum logo se farmado ki agar tumhare BAAP,TUMARE BETE, (AWLAD), TUMARE BHAI, TUMHARI AWRATE, TUMHARE KHANDAN, TUMHARA KAMAYI KA MAAL, TUMHARI PASANSD KE MAKAN, duniya ki ye sari cheze tumhe allah aur uske rasool wa uski raha mai zehad karne see jayeda pyari hai to fir allah ke hokum (Azab) ki rah dekho. Allah gumraho ki rahenumayi nahi fermata.
Is ayeat se pata chala ki hamare dilo mai Allah wa Rasool ki mohabbat aur zehad ka jazaba bedar rahena zaroori hai. Duniya ki mohabbat hame gumrahi ke andhero mai bhatkane par mazbur kar deti hai. Aur Allah wa Rasooool ki mohabbat duniya aur akhirat mai surkhru karti hai. Deen-duniya ki bhalayiya nashib hoti hai. Allah ke rasool ne bhi is hakikat par rawshni dalte huwe farmaya – yah 3 – cheze jishke pass ho, wah imaan ki mithsh mahesush karega [1] Sari duniya se jayeda Allah wa Rasool se mohabbat kare. [2] Kisi se mohabbat kare to allah waste. [3] Kufr ki taraf lawtna ayesa hi napasand ho jayesa aag mai kudne ko napasnad kare.
Ek din Hazrat Umar Faroque Radiyallaho Anho ne Allah ke pyare rasul se araz kiya – Ya Rasulallah! Aap meri jaan ke alawa duniya mai sari chezo se jayda mahbub hain. Aap ne faramya – Umar! Suno – admi jab tak mujhe apni jaan se bhi jayeda pyare na mane, momin nahi ho sakta. Pyare Rasool ki baat sunkar Hazrat  Umar bol bade – Ya Rasulallah! Aap mujhe meri jaan se bhi jayeda mehboob hai. Unka jawab sunkar allah ke rasul ne farmaya –Umar! Ab tumhara imaan mukammal howa.
Hazrat Anas Radiyallaho Anho farmate hai – Allah ke rasool ne farmaya – jab tak tum mujhe apni awlad , maan baap yaha tak ki har chez se jayeda na chaho, momin nahi ho sakte.
Ek sahabi darbar-e-rasul mai hazir ho kar araz karne laga – Ya Rasoolallah! Qayamat kab ayegi? Unki baat sunkar Allah ke Rasool ne puchha – tumne qayamat ke liye kya tayyari kar rakhkhi hai? Unho ne kaha – Ya Rasoolallah! Mere paas namaz, roza, sadka wagayera nahi, bas ek chez zaroor hai ki mai Allah aur uske Rasool se mohabbat karta ho. Aapne farmaya – tum apne mehboob ke sath rahoge.
Mohabbat-e-rasool  wa taalluq shirf dware rishalat tak hi mahdud nahi balki yah dawlat to har zamane mai khushnashbo ko hashil hoti rahegi. Chunanchey ek baar Aka  Sallallaho-alaye-wa-sallam  ne farmaya – Abu zar! Meri ummat mai mujh se jayeda mohabbat karne wale ayese loog hoge jo mere (Duniya se jane ke baad) payeda hoge, unmai se hare k ki yahi khwhish hogi ki wah apni dawlat wa awlad ke badle meri jiyarat kar shake.

Baheraal, ishq-e-rasool momin ki sab se kimti dawlat wa sarmaya hai. Jinhe ishq-e-rasool ki chashni nashib ho gayi, unhone zindagi ka naqsh badal dala. Wah khud qamiyab huwe, logo ko bhi ba muraad banaya. Yahi baat hai ki payese wale ki to chhodiye, na jane kitne gareeb apna sab kuch samet kar MADINA SHARIF ki jiyarat ke liye pahuchte hai. Yah ishaq ki baat hai.

Tuesday, August 6, 2013

Shab-e-Qadar

HAZRAT ANAS-INB-E-MALIK-RAZIALLAHO-TA-AALA-ANHO- ne farmaya ki jab ramazn ka mahina suro hua to huzur- ALAYHISHSALATU-WAS-SALAM ne farmaya ki yaha mahina tum ma aya hai. Aur ismai ek raat ayesi hai jo hazar mahino se achchhi hai to jo shakhsh iski barkato se mahrum raha wah tamam bhalaiyon se maharom raha aur nahi maharum rakhkha jata iski bhalaiyon se magar wha jo bilkul be nashib ho- (IBN-E-MAZA)

HAZRAT-E-AYESHA-RAZIALLAH-TA-AALA-ANHO- ne kaha ki huzur – ALAYHISHSALATU-WAS-SALAM ne farmaya ki ramzan ki akhiri dahayi ki futkar rato mai sab-e-kadar ko khojo- (BUKHARI SHARIF)

HAZRAT-E-AYESHA-RAZIALLAH-TA-AALA-ANHA- ne farmaya ki maine huzur – ALAYHISHSALATU-WAS-SALAM se puchha ki ya rasulallah ! agar mujh ko sab-e-kadr malum ho jaye to mai usmai kya karo ? aapne farmaya ki yaha dua padho- ALLAH-HUMMA-INNAKA-AFU-UN-TUHIBBUL-AKW-FA-AAFU-ANNI. YAHI aye allah ! tu mu-aaf farmane wala hai maaf karna tujhe pasand hai to mujhe maaf farmade.

HAZRAT-E-AYESHA-RAZIALLAH-TA-AALA-ANHA- ne farmaya ki huzur- ALAYHISHSALATU-WAS-SALAM jitni ramzan ki akhiri dahayi mai (ibadad ke liye) koshish karte the utni kisi dusre dahayi mai na karte the. (MUSLIM)

HAZRAT-E-ANAS-RAZIALLAH-TA-AALA-ANHO- ne kaha ki rasul-e-karim ALAYHISHSALATU-WAS-SALAM ne farmaya ki jab sab-e-kadar aati hai jo JIBRYIL-ALAYHISHSALAM farishto ki jamat ke shath ate hai aur har us band ke liye bakhshish ki dua karte hai. Jo khade hoka ya bayth kar khudaya ta-aala ke jikar mai laga rahata. Fir jab unhe EID ka din nashib hota hai to khudaya-ta-aala apne un bando par apne farishto ke samne apni khushi jahir karta hai. Aur fermata hai ki aye mere farishto ! un mazdur ki mazduri kya hai jo apna kaam pura kar de. Farishte kahete hai ki aye mere farwardigar uski mazdui yaha hai ki usko pora badla diya jaye. Khudaya-ta-aala farmata hai ki aye mere farshto ! mere bando aur meri lawndiyon ne (mere mukarrar kiya hua) fazr ko ada kar diya hai ab waha gharo se dua ke liye EIDGAHA ki taraf nikle hai. Kasam hai apnhi izzat, apne jalal, aapni bakhshish wa rahemat apni shan ki badayi aur apni rifa-atimakan ki mai unki duayon ko QABUL karoga fir khudaya-ta-aala farmata hai aye mere bando ! apne gharo ko lawt jao maine tum ko bakhsh kiya aur tumhari burayiyo ko nekiyon se badl diya. Farmaya HUZUR- ALAYHISHSALATU-WAS-SALAM ne to musalman EIDGAHA se is haal mai wapas hote hai ki unke gunaha bakhsh diye jate hai. (BAYEHKI)


HAZRAT-E-AYESHA-RAZIALLAH-TA-AALA-ANHA- ne farmaya ki ramzan ki akhiri dahayi ati to huzur ALAYHISHSALATU-WAS-SALAM apne tahband ko mazbut bandh lete (yahi ebadad mai bahut koshish farmate) rato ko jagte aur apne ghar walo ko jagate.