Thursday, July 18, 2013

April Fool (Jhooth Bolna Gunahe Kabirah)

Jhoot bolne wale par Allah Paak ki laanat hoti hai. (Surah:Al Imran, Surah No:3, Aayat No. 61)

Har saal 1April ko April fool manaya jata hai, is ki ibteda ke bare me mukhtalif Kahaniya Milti hai, “ Kahani koi bhi ho Sawal ye paida hota hai”.

(1) Kya ham samajhte hai jhoot bolna acchi adat hai?

(2) Kya ham pasnd karte hai ke koi ham se jhoot bole?

(3) Kya ham me se koi pasnd karta hai ke us ka mazakh udaya jaye?

Yaqinan ham jhoot ko accha nahi samajhte na hi kisi ka mazakh udana hamare nazdeek koi pasndida harkat hai aur na hi Ham khud apne liye aisa chahte hai to Phir April Fool kaise mana sakte hai Jo Jhoot bolkar doosron ko bewaqoof banana aur un ka Mazakh udane ka din hai.

Allah Paak Irshad Farmate hai – “Aye Iman walon! Mard doosre Mardon ka Mazaq na udayen Mumkin hai ke ye un se behter ho aur na Aaorten Aaorton ka Mazaq udayen Mumkin hai ke ye un se behter ho, aur Aaps me ek doosre ko Aaib na Lagao, Aur na kisi ko Bure Laqab do, Iman ke baad Fusq bura Naam hai, Aur jo toba na karen wahi Zalim log hai. (Surah: Al-Hujrat, Surah No:49, Aayat No:11)

(1) Na mazakh banayye aur na mazakh ka nishana baniye.

(2) Na jhoot boliye aur na kisi ke jhoot me shamil hoye.

(3) Apne akhlaq-o-aamal ki khoobsurti ko duniya ke samne laye ta ke wo jaan saken ke aap kitne shandar deen ke numayenda hain.

(1) Rasulullah Sallallaho Alaye Wa Sallam Ne Farmaya – “Jis ne kisi qoum ki mushabihat ikhtiyar ki wo unhi me se hai. (Bukhari Sharif).
Kisi ko Fool banana ek Qabeeh (Buri) harkat hoti hai, Jhoot bole bagair kisi ko bewaqoof nahi banaya ja sakta aur ek Musalman ko Jhoot nahi zeba deta.

(2) Rasulullah Sallallaho Alaye Wa Sallam Ne Farmaya - “Halakat hai us shaksh ke liye jo logon ko hansane ke liye jhoot bole, us ke liye halakat hai, us ke liye halakat hai. (Abudawood, Tirmizi).

(1) Yaad rahe! Musalman wo hai jo apne bhai ke liye wahi pasand karta hai jo apne liye pasnd karta hai, jab ham apne liye jhoot aur mazakh pasand nahi karte to phir kisi doosre ke liye kaise kar sakte hai?. Aur Jhoot bolna gunahe kabirah hai.Aur Jhoot bolna gunahe kabirah hai.

Aur Jhoot bolna gunahe kabirah hai… Allah Paak ham sab ki hifazat farmaye.. Ameen!!!

No comments:

Post a Comment