Monday, July 22, 2013

Few Islamic Knowledge

Aye mere dosto kya tum bhul gaye ho ki tumhe us parwadegar ke pass wapas jana hai…kya tumhe nahi pata ki tum jo kar rahe ho usse wo khub wakif hai aur tumhare kartut usse pata hai wo sab janata hai jo tum karte ho aur jo tumhare man mai hai, aur jo tum sochte ho…to kya tumhe us Allah ka dar nahi jo Pori kaynat ka rakhwala hai kya tumhe uska kahena nahi manna chahiye jo usne kaha hai mere matalb un kamo se hai jo Allah ne mana faramye hai aaj ki kawm pata nahi kyon bhatak ti ja rahi hai.

Maine dekha hai ki muslim bachchey na jane kis kis chez ka nasha kar rahe hai jo islamic tawr par haaram hai…ye nasha tumhari ane wali zindagi barbad kar raha hai…kya tum nahi janate ki jis nase ke tum adi ho gaye ho wo ek waqt ane par tumhe kha jayega fir zara socho ki us Allah ke samne kya kahoge jo tumhare har kaam se wakif hai tumhari har achchhi aur puri cheiz usse pata hai..tum jo karte ho wo usse chupa nahi paoge….wo to sab jannne wala hai.

Dosto aaj ka muslam haram aur hala mai farak hi nahi karata hai wo to ayesa ho gaya hai jayese wo duniya mai hi rahega…jayese maine apni pichli post mai halal aur haram ke bare mai likhkha thha…ek hadith mai hai ki – Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Logo per ek ayesa zamana aye ga ke insaan koi parwah nahi karega ke jo is ne hasil kya ha wo Halal hai ya haram hai. (2059: Jild 3; Sahee Bukhari Shareef)….to ab tumhe sochana hai ki tum kya karna chahate ho kya tum jannat mai jana chahate ho yar fir…us jahannam mai jaha ki soch kar  bhi rongte khade ho jayege tumhre.

Maine dekha hai ki baat baat par insaan kasam khata hai aur wo bhi Allah ki jab ki Kasam to Allah ki hi khani chahiye par hamesha nahi… jab insaan fas jata hai ya kuch ayesa ho jata hai ki …uska koi yakin na kare to fir wo Allah ki kasam kha sakta hai.. Aur koi bhi muslman Allah ki kasam jhhuthi nahi khayega ab jara socho agar tum baat baat par kasam khaoge aur fir kabhi ayesa mauka aya ki tumhara koi yakin nahi kar raha ho…fir tum agar Allah ki kasam bhi khaoge to tumhare koi yakin nahi karega..is baat ka bhi khayal rakhna chahiye… Kasam shirf us time par khani chahiye jab uski jarorat ho baat baat bar kasam khana galat hai.

Maine dekha hai ki log kuch bhi kasam kha lete hai, koi bhai ki khata hai koi baap ki aur ayesi hi bahut si kasam hai jo log khate hai…par ayesi koi kasam hai hi nahi…kasam shirf Allah ki hai aur wahi kasam khana chahiye…ek hadith mai aya hai – Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aagr kisi ko kasam khani hi ha to Allah hi ki Qasam khaye, warna khamosh rahe. (2679: Jild 4; Sahee Bukhari Shareef). Isse saaf ho jata hai ki hame shirf Allah ki kasam hi khani chahiye.


Main jobhi likhkha ho sab islami book aur hadith se le kar hi likhkha ho, main apne aap se kuch bhi nahi likha …pas ye post maine tayyar ki hai..inshallah agali post fir se karoga …sunnat aur islam ki rawshni mai…ummed hai aap log is par amal karege…Allah ham sab ke gunah maaf kare aur hame…imaan ke sath duniya mai rahene ki tawfik de…Ameen!!

No comments:

Post a Comment