Wednesday, August 7, 2013

Juma Kayim Karne Ki Shart “Ezn-e-Aam”

MASLA:-
[1] Ezn-e-aam yani aam izazat yani jo bhi muslman chahe wah juma padhne aashake aur koi ruk-tuk na ho. Agar masjid mai juma padhne ke liye log zama ho jaye aur masjid ka darwaza band kar diya aur darwaza band kar ke namaz padhi, to juma ki namaz na hui. (Alamgeeri )
[2] Badshah ne apne makan mai juma kayim kiya , aur makan ka darwaza kho diya ke logo ko ane ki izazat hai, to juma ho gaya, fir chahe log aye ya na aye. Aur agar darwaza band kar ke juam padhya ya darwaza to khula rakhkha lekin darwaze par darban (chawkidaar) ko bitha diya ki logo ko apne na de, to juma na huwa. (Alamgeeri, Bahar-e-shariat, hissa no.4 safa no. 88)
[3] Jis jail (karawas) mai musalman kaidi aur mulazemin (karamchari) ho aur us jail mai musalman  kaidiyon ro roza rakhne ki aur jamat se namaz padhne ki bhi izazat ho, fir bhi waha juma ki namaz kayim nahi ho sakti kyonki juma kayim karne ki shart maise ek shart ‘ezn-e-aam’ hai aur jail mai bahar ka adimi namaz padhne nahi ja sakta, lihaza jail mai juma kayim nahi ho sakta. Balki juma ke din kaidiyon ko jail mai johar ki namaz bhi jamat se padhna zayaz nahi, har shakhsh tanha johar ki namaz padhy aur agar jail saher ke had se bahar ho, to kaidi johar ki namaz jamaat se padh shakte hai. (Tanvirul Abbas, Fatwa, razviya, jild – 3 safa – 624)
[4] Awrato ko masjid mai apne se rokne mai izn-e-aam ki shart ke khilaf na hoga balki awrat ko masjid mai apne se  roka jaye kyonki awrato ke masjid mai ane se fitna ka khawf hai. (Bahar-e-shariat, hissa – 4 safa 88)
[5] Murtad, munafik, gumraha aur bad-akida firke ke log, jo baargah-e-risalat sallallaho-ta-ala-alaye-wa-sallam mai gustakhiya aur bad-adbiyan karte hai aur bhule-bhale musalmano ko apne dam-e-fareb ( Jaal ) mai fasa kar unke imaan tabah karte hai, ayese munafiko ko bhi masjid mai apne se rokne mai ezn-e-aam ki shart ki khilaf na hona, balki unko ‘dar-e-zarr’ ke liye rokna jarori hai.
HADITH:-
Shahi muslim sharif mai hazrat abu-huraira-raziyallaho-ta-ala-anho – se riwayat hai ki huzur –akdas sallallaho-ta-ala-alaye-wa-sallam irshad farmate hai ki “EYYAKUM-WA-EYYAHUM-LA-YUDILLUNKUM-WALA-YUFTENUNKUM” (tum unse alag raho, unhe apne se duur rakho, kahi wo tumhe bahka na de, kahi wo tumhe fitna mai na dalde).
Hazrat ibn-e-habban ne hazrat abu-huraira ki riwayat mai izafa kiya ki “LA-TUSALLU-ALAYEHIM-WALA-TUSALLU-MA’HUM” yani  “unke zanaze ki namaz na padho, unke sath namaz na padho”.
MASLA:-
[1] “Dur-e-mukhtar mai hai ki “YUMAN-O MINHO-KULLU-MUJIN-WA-LAW-BE-LISANEHI” matlab- masjid se har muzi (dukh pahuchane wala) ko roka jaye agarche wo apni zaban se hi eza (kasht) pahuchata ho”
[2] “Har muzi ko masjid se nikalna ba:shart istata-at wajib hai, agarchhe wo “muzi” shirf jaban se eza deta ho. Khususan (vishesta)wo jis ki eza musalmano mai band mazhabi failana, gumraha karna aur logo ko sachche deen se bahkana hai.”
[3] “Jo shakhsh masjid mai aakar apni zaban se logo ko “eza” (kasht) deta ho, usko masjid se nikalne ka hukum hai kyonki jis shakhsh ki wajah se nahaq fitna (jhagda) uthta ho, usse masjid mai ane se rokna jarori hai”.
[3] “Dawr-e-hazera (wataman yug) ke munafekin aur murtadeen mai wahabi, devbandi, nazadi aur gayer mukallid, kadyani wagayerah batil firko ka sumaar hota hai. Jis ki mufassal tafsil (jankari) ayetihasiq kitab “HUSSAMUL-HARMAYEN-ALA-MANHRIN-KUFFAR-E-WAL-MAYN” (saal, 113 hizri, praksh warsh) mai mazkur hai”.
Note:-
Iss baab (prakarad) mai hadith sharif ke baad jo 5-masayil pesh kiye gaye hai, un 5- masayil ka hawal (sandarbh) hasb-e-zail (nimlikhit) hai.

“AAL-ATAYAN-NABVIYYA-FIL-FATWA-RIZVIYA” JILD NO. – 6 SAFA NO. 103, 106, 108, 433, 447

No comments:

Post a Comment