Tuesday, August 6, 2013

Shab-e-Qadar

HAZRAT ANAS-INB-E-MALIK-RAZIALLAHO-TA-AALA-ANHO- ne farmaya ki jab ramazn ka mahina suro hua to huzur- ALAYHISHSALATU-WAS-SALAM ne farmaya ki yaha mahina tum ma aya hai. Aur ismai ek raat ayesi hai jo hazar mahino se achchhi hai to jo shakhsh iski barkato se mahrum raha wah tamam bhalaiyon se maharom raha aur nahi maharum rakhkha jata iski bhalaiyon se magar wha jo bilkul be nashib ho- (IBN-E-MAZA)

HAZRAT-E-AYESHA-RAZIALLAH-TA-AALA-ANHO- ne kaha ki huzur – ALAYHISHSALATU-WAS-SALAM ne farmaya ki ramzan ki akhiri dahayi ki futkar rato mai sab-e-kadar ko khojo- (BUKHARI SHARIF)

HAZRAT-E-AYESHA-RAZIALLAH-TA-AALA-ANHA- ne farmaya ki maine huzur – ALAYHISHSALATU-WAS-SALAM se puchha ki ya rasulallah ! agar mujh ko sab-e-kadr malum ho jaye to mai usmai kya karo ? aapne farmaya ki yaha dua padho- ALLAH-HUMMA-INNAKA-AFU-UN-TUHIBBUL-AKW-FA-AAFU-ANNI. YAHI aye allah ! tu mu-aaf farmane wala hai maaf karna tujhe pasand hai to mujhe maaf farmade.

HAZRAT-E-AYESHA-RAZIALLAH-TA-AALA-ANHA- ne farmaya ki huzur- ALAYHISHSALATU-WAS-SALAM jitni ramzan ki akhiri dahayi mai (ibadad ke liye) koshish karte the utni kisi dusre dahayi mai na karte the. (MUSLIM)

HAZRAT-E-ANAS-RAZIALLAH-TA-AALA-ANHO- ne kaha ki rasul-e-karim ALAYHISHSALATU-WAS-SALAM ne farmaya ki jab sab-e-kadar aati hai jo JIBRYIL-ALAYHISHSALAM farishto ki jamat ke shath ate hai aur har us band ke liye bakhshish ki dua karte hai. Jo khade hoka ya bayth kar khudaya ta-aala ke jikar mai laga rahata. Fir jab unhe EID ka din nashib hota hai to khudaya-ta-aala apne un bando par apne farishto ke samne apni khushi jahir karta hai. Aur fermata hai ki aye mere farishto ! un mazdur ki mazduri kya hai jo apna kaam pura kar de. Farishte kahete hai ki aye mere farwardigar uski mazdui yaha hai ki usko pora badla diya jaye. Khudaya-ta-aala farmata hai ki aye mere farshto ! mere bando aur meri lawndiyon ne (mere mukarrar kiya hua) fazr ko ada kar diya hai ab waha gharo se dua ke liye EIDGAHA ki taraf nikle hai. Kasam hai apnhi izzat, apne jalal, aapni bakhshish wa rahemat apni shan ki badayi aur apni rifa-atimakan ki mai unki duayon ko QABUL karoga fir khudaya-ta-aala farmata hai aye mere bando ! apne gharo ko lawt jao maine tum ko bakhsh kiya aur tumhari burayiyo ko nekiyon se badl diya. Farmaya HUZUR- ALAYHISHSALATU-WAS-SALAM ne to musalman EIDGAHA se is haal mai wapas hote hai ki unke gunaha bakhsh diye jate hai. (BAYEHKI)


HAZRAT-E-AYESHA-RAZIALLAH-TA-AALA-ANHA- ne farmaya ki ramzan ki akhiri dahayi ati to huzur ALAYHISHSALATU-WAS-SALAM apne tahband ko mazbut bandh lete (yahi ebadad mai bahut koshish farmate) rato ko jagte aur apne ghar walo ko jagate.

No comments:

Post a Comment