Wednesday, August 7, 2013

MOHABBAT-E-RASOOL

Quran sharif mai jagah-jagah farmaya gaya – Allah aur unke rasool ki farmabardari karo, kaha mano. Rasul se mohabbat iman ki jaan hai kyonki jab tak hame pyare rasool se mohabbat nahi hogi, ham aap ke farman par amal karne ki pahel nahi karege. Ashiq hi apne mehbub ke har farman par amal karta hai, uski naaz bardari karta hai. Isliye hamare liye lazmi hai ki ham apne pyare rasool sallallaho-alaye-wa-sallam se mahobbat kare taki duniya aur akhirat ki bhalayiya nasib ho.

Sureh-Tawba mai Allah ne farmaya- aye rasool! Tum logo se farmado ki agar tumhare BAAP,TUMARE BETE, (AWLAD), TUMARE BHAI, TUMHARI AWRATE, TUMHARE KHANDAN, TUMHARA KAMAYI KA MAAL, TUMHARI PASANSD KE MAKAN, duniya ki ye sari cheze tumhe allah aur uske rasool wa uski raha mai zehad karne see jayeda pyari hai to fir allah ke hokum (Azab) ki rah dekho. Allah gumraho ki rahenumayi nahi fermata.
Is ayeat se pata chala ki hamare dilo mai Allah wa Rasool ki mohabbat aur zehad ka jazaba bedar rahena zaroori hai. Duniya ki mohabbat hame gumrahi ke andhero mai bhatkane par mazbur kar deti hai. Aur Allah wa Rasooool ki mohabbat duniya aur akhirat mai surkhru karti hai. Deen-duniya ki bhalayiya nashib hoti hai. Allah ke rasool ne bhi is hakikat par rawshni dalte huwe farmaya – yah 3 – cheze jishke pass ho, wah imaan ki mithsh mahesush karega [1] Sari duniya se jayeda Allah wa Rasool se mohabbat kare. [2] Kisi se mohabbat kare to allah waste. [3] Kufr ki taraf lawtna ayesa hi napasand ho jayesa aag mai kudne ko napasnad kare.
Ek din Hazrat Umar Faroque Radiyallaho Anho ne Allah ke pyare rasul se araz kiya – Ya Rasulallah! Aap meri jaan ke alawa duniya mai sari chezo se jayda mahbub hain. Aap ne faramya – Umar! Suno – admi jab tak mujhe apni jaan se bhi jayeda pyare na mane, momin nahi ho sakta. Pyare Rasool ki baat sunkar Hazrat  Umar bol bade – Ya Rasulallah! Aap mujhe meri jaan se bhi jayeda mehboob hai. Unka jawab sunkar allah ke rasul ne farmaya –Umar! Ab tumhara imaan mukammal howa.
Hazrat Anas Radiyallaho Anho farmate hai – Allah ke rasool ne farmaya – jab tak tum mujhe apni awlad , maan baap yaha tak ki har chez se jayeda na chaho, momin nahi ho sakte.
Ek sahabi darbar-e-rasul mai hazir ho kar araz karne laga – Ya Rasoolallah! Qayamat kab ayegi? Unki baat sunkar Allah ke Rasool ne puchha – tumne qayamat ke liye kya tayyari kar rakhkhi hai? Unho ne kaha – Ya Rasoolallah! Mere paas namaz, roza, sadka wagayera nahi, bas ek chez zaroor hai ki mai Allah aur uske Rasool se mohabbat karta ho. Aapne farmaya – tum apne mehboob ke sath rahoge.
Mohabbat-e-rasool  wa taalluq shirf dware rishalat tak hi mahdud nahi balki yah dawlat to har zamane mai khushnashbo ko hashil hoti rahegi. Chunanchey ek baar Aka  Sallallaho-alaye-wa-sallam  ne farmaya – Abu zar! Meri ummat mai mujh se jayeda mohabbat karne wale ayese loog hoge jo mere (Duniya se jane ke baad) payeda hoge, unmai se hare k ki yahi khwhish hogi ki wah apni dawlat wa awlad ke badle meri jiyarat kar shake.

Baheraal, ishq-e-rasool momin ki sab se kimti dawlat wa sarmaya hai. Jinhe ishq-e-rasool ki chashni nashib ho gayi, unhone zindagi ka naqsh badal dala. Wah khud qamiyab huwe, logo ko bhi ba muraad banaya. Yahi baat hai ki payese wale ki to chhodiye, na jane kitne gareeb apna sab kuch samet kar MADINA SHARIF ki jiyarat ke liye pahuchte hai. Yah ishaq ki baat hai.

No comments:

Post a Comment