HADITH: nabi kareem (salalaho alaihi wa'alaihi wasallam) ne fermaya:"jo admi kisi larai me qatal ho gaya (jab k larne wale) apus me 1 dusre per pather phaink rahe the kore maar rahe the, lathyan bersa rahe the ye qatal to "qatal e khata" hai is ki diyat b qatal e khata ki diyat ho gi or jis admi ko iradatan (jaan bujh ker) qatal kia gaya to us ka qisas hai or jo admi is se qisas lene me rukawat bane ga us per ALLAh ki lanat or narazgi hai is ka ferz, nafil koi b amal ALLAH k nazdeek maqbul nhn ho ga"
HADITH: nabi kareem (salalaho alaihi wa'alaihi wasallam) ne fermaya:"jis admi k dil me quran majeed se kuch hissa b nhn hai wo dil beabad ghar ki trha hai"
HADITH: nabi kareem (salalaho alaihi wa'alaihi wasallam) ne fermaya:"akaili namaz k muqable me bajama'at namaz 27 derje afzal hai"
HADITH: nabi kareem (salalaho alaihi wa'alaihi wasallam) ne fermaya:" shareef or husn o jamal or izzat walibewa jo shoher k inteqal k bad apne yateem buchon ki khatir apne nufs ko nikah se roke rahe or mehnat o mushaqat uthane ki waja se us ki rungat kali ho gai ho' qayamat k din mertabe me in dono unglyon ki trha mere qareeb hon ge' rawi ne wasli or sababa ungli ka ishara ker k samjhaya"
HADITH: nabi kareem (salalaho alaihi wa'alaihi wasallam) ne fermaya:"halaala kerne wale per or kerwane wale dono per lanat hai"
HADITH: nabi kareem (salalaho alaihi wa'alaihi wasallam) ne fermaya:"jo aurat bilawajeh apne khawind se tallaq ka sawal kerti hai, us per bahisht ki hawa b haraam hai"
HADITH: nabi kareem (salalaho alaihi wa'alaihi wasallam) ne fermaya:"abao ajdad k nam ki qasme na khao, buton ki qasme na khao or ALLAH ki qasam b sirf us waqt khao jab tum suche ho"
HADITH: nabi kareem (salalaho alaihi wa'alaihi wasallam) ne fermaya:"aurat se 4 wajhon se nikah kia jata hai:maal, husab nasab, husn o jamaal ya deen ki wajah se. tum deendar aurat ka intekhab karo or shirk kerne wali aurton se, tawaqtye k wo iman na laen tum nikah na karo, imandar laundi b shirk kerne wali azad aurat se boht behter hai, go tumhen mushrika hi achi lagti ho or na shirk kerne wale mardon k nikah me apni aurton ko do jab tak k wo iman na laen, imandar ghulam azad mushrik se behter hai, go mushrik tumhen acha lage. ye log jahannum ki taraf bulate hain or ALLAH apne hukm se jannat ki taraf or apni bukshish ki taraf bulata hai or wo apni ayaten logon k lye bayan fermata hai, ta k wo naseehat hasil karen"
HADITH: nabi kareem (salalaho alaihi wa'alaihi wasallam) ne fermaya:"jis shaks ne (jhuti) qasam kha ker kisi musalman ka haq maar lia ALLAH ne us k lye jahannum wajib ker di or jannat haraam ker di" 1 admi ne arz kia ya rasul ALLAH (salalaho alaihi wa'alaihi wasallam)! khwah wo mamuli cheez ho? aap (salalaho alaihi wa'alaihi wasallam) ne irshad fermaya:"khwah peelu ki 1 tehni hi q na ho"
HADITH: nabi kareem (salalaho alaihi wa'alaihi wasallam) ne fermaya:"meri ummat me se 1 jama'at haq (ki hifazat) k lye hamesha jahad kerti kerti rahe gi, apne mukhalifeen per ghalib rahe gi yahan tak k un ka akhri (dusta) maseeh dajjal se jung kare ga"
HADITH:nabi kareem (salalaho alaihi wa'alaihi wasallam) ne fermaya:"jo deen e islam se phir jae, yani murtad ho jae (agar wo tauba na kare) to us ki dunyawi saza qatal hai"
HADITH: nabi kareem (salal;aho alaihi wa'alaihi wasallam) ne fermaya:miskeen ko khairat dena 1 hi sadqa hai (is ka 1 hi sawab ha) or rishtedar ko sadqa dena sadqa b hai or suluk b (is ka dohra sawab milta hai)"
HADITH:nabi kareem (salalaho alaihi wa'alaihi wasallam) ne fermaya:"jab gane bajane k aalat or gane bajane wali aurten zaher hon gi to khasaf (zameen me dhansna) qazaf (patharon ka barasna) or muskh (shaklen tabdeel hona) ka azab nazil ho ga"
HADITH:nabi kareem (salalaho alaihi wa'alaihi wasallam) ne fermaya:"jo shaks ALLAH se mulaqat kerna kerna pasand kerta hai ALLAH b us se mulaqat kerna pasand kerta hai or jo shaks ALLAH se mulaqat kerna pasand nhn kerta, ALLAH b us se mulaqat kerna pasand nhn fermata" hazrat aisha (R A) ya aap (salalaho alaihi wa'alaihi wasallam) ki kisi dusri zoja ne kaha:"maut to hame b napasand hai" aap (salalaho alaihi wa'alaihi wasallam) ne irshad fermaya:'ALLAH ki mulaqat se murad maut nhn hai bul k momin ko jab maut ati hai to use ALLAH ki razamandi or izzat afzai ki khushkhabri di jati hai is waqt momin ko ainda milne wali nemton se ziada koi cheez mehbub nhn hoti or wo (jaldi jaldi) ALLAH se milna chahta hai or ALLAH b is se milne ko pasand fermata hai jab kafir ko maut ati hai to use ALLAH k azab or us ki saza ki "basharat" di jati hai tub use ainda pesh ane wale halaat se ziada nafrat kisi cheez se nhn hoti lehaza wo ALLAH se mulaqat kerna pasand kerta hai or ALLAH b is se milna pasand nhn fermata"

Subhan Allah
ReplyDelete