Sunday, March 25, 2012

Quotes of Hazrat Ali (R.A)


Kabi b apni takdeer ya naseeb ko bura mat kaho q k
ye naseeb hi hai jiski badulat tum musalman ho or


HUZOOR(S.A.W.W) ki ummat me se ho
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 

・Maut ko hamesha yaad rakho magar maut ki arzu kabhi na karoJiska raabita
khuda ke saath ho wo naakaam nahi hota
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 

Naakaam wo hota hai Jiski umeedein duniya se waabasta hon
Woh Shakhs Kis Tarah Takkabur Ker Sakta hai
Jo Mitti sy Bana Ho 'Mitti Main Milny wala ho
Aur
Mitti Main Keery Makoron Ki Ghiza Ban'ny Wala ho
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 

.Agar Apas Main Raabta Na Ho To Dost B Dushman ?Ban Jaate Hain
Aur Agar Apas Main Raabta ho To Dushman B Dost Ho sakty hain.
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 

Do tarah se cheezen dekhne me Chotti nazar aati hein"


Ek dooor se..,or Doosra gharoor se
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 

Apne dushman ko hazaar mouqay do k woh tumhara dost ban jaye.Lekin...
Apne dost ko aik bhi mouqa na do k woh tumhara dushman ban jaye.
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 

LOGOO ko USI tarha MAAF karo jaisay TUM KHUDA say UMEED rakhtay ho k wo TUMHAY MUAAF karega.
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 

Insan dukh nahi deta,insan se wabasta umeeden dukh deti hai
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 

Mein baron ki izzat is liye krta hun k unki nekiyaan mujse zaida hen or choton se pyar is liye krta hun k un k gunah mujse kam hen"
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 

No comments:

Post a Comment